Thursday, April 2, 2009

Aansuon Aankh Ki Dehleez Pe Aaya Na Karo


Aansuon Aankh Ki Dehleez Pe Aaya Na Karo
Ghar Ke Haalaat Zamaane Ko Bataya Na Karo
Log Muthhi Mein Namak Le Ke Phira Kerte Hain
Zakhm Tum Apne Kisi Ko Bhi Dikhaya Na Karo
Saanp Khushbu Ke Ahaate Mein Basa Kerte Hain
Phool Ke Peron Ko Aangan Mein Lagaya Na Karo
Haathh Aaye Usi Lumhe Ko Ghaneemat Jano
Apni Palkon Pe Koi Khwab Sajaaya Na Karo
Yaas Ki Tapti Hui Ret Mein Jalne Do Mujhe
Aas Ke Badlo Sir Pe Mere Aaya Na Karo
Aaj Ke Daur Ka Paigham Yahi Hai TanishQ
Koi Gir Jaaye To Bhoole Se Uthhaya Na Karo

Teri dooly meray ankhon ke samanay chaly gae

Usay panay ki khowish bharty chali gae
Woh inkar pe inkar krty chali gae


Mohabbat ka ye tareka anokha hi sahi
Me us se pyar wo mujh se nafrat krty chali gae

Tooty hoi door se urata rha patang
Phir bhi mohabbat ki wo patang urty chali gae

Phool bun k wo meri zindagi me aye
Kshshboo bun k wo mery zindagi se chali gae

Dil tujhay yaad kar k roota hai is tarah
Teri dooly meray ankhin k samanay chali gae

Ik roz palat kay aao gay

Kuch uska qata taluq ka irada tha mazboot
kuch main bhi anaa parast thi usko roka nahi


huwa kia khob kay sara ghar ujar gaya maira
magar maray hisay main aya hawa ka ik jhoonka bhi nahi

baat yah sach thi sahid kay woh mujhay bhool gaya
woh maray paas say guzra or choonka bhi nahi

suno pardais main jao magar ik rooz palat kay ayoo gay
mari jahan wahan wafadar mujh sa koi hoga nahi

mujhay woh choor gaya saath yah bhi kah gaya
mari majboorian thi yah sab koi dhoka nahi

maray khuda sirf main hi rah gayi thi khali daaman
usnay sab paa lia or mujhko bhi khoya nahi

main hi pagal hoon jo judai pay roo di thi MAHI
woh bhi tou bichra tha magar woh kyun roya nahi

Wednesday, April 1, 2009

Ek bekasii hai hijr ke maaro.n ke saath saath

Ek bekasii hai hijr ke maaro.n ke saath saath
TuuTaa hai meraa dil bhii sahaaro.n ke saath saath


jii bhar ke dekhane bhii na paaye the chhup gaye
armaa.N bhii hai.n udaas nazaaro.n ke saath saath

dil me.n vafuur-e-shauq kaa tuufaa.N liye huye
Khaamosh jaagataa huu.N sitaaro.n ke saath saath

itanii to mahviyat ho tasavvur me.n tere dost
Khud ko bhii bhuul jaa_uu.N nazaaro.n ke saath saath

"Yahya" ye aag ishq kii phir bhii na bujh sakii
hai dil me.n ashk-e-Gam bhii sharaaro.n ke saath saath

TUNEY SAATH JO MERA CHORA DEWANA TERA MAR JAYEGA

Main kaisay chor doon jeena, bari mushkil say seekha hai!
Zehar aram say peena bari mushkil say seekha hai.

Mairay sathi ki marzi thee so ye karna para mujhko
Banana saghar-e-meena bari mushkil say seekha hai

nahe ye ho nahe sakta k main nafrat bhe karon tum say,
K main nay piyar he karna bari mushkil say seekha hai

"TUNEY SAATH JO MERA CHORA DEWANA TERA MAR JAYEGA"

GHAMON KA ZEHER PEENA AA GYA HEI

GHAMON KA ZEHER PEENA AA GYA HEI
HAMEN MUSHKIL MEIN JEENA AA GYA HEI


HAMARI PYAS KI SHIDAT TO DEKHO
SUMUNDER KO PASINA AA GYA HEI

CHALO TALE LAGADO MEKADON KO
KE KAM ZARFON KO PEENA AA GYA HEI

TUM ALFAZON KE NASHTAR TEZ KAR LO
HAMEN ZAKHMON KO SEENA AA GYA HEI

LO AB ES NA KHUDA KO HOSH AAYA
KINARE JAB SAFINA AA GYA HEI

TERE BIN YOON LAGA HEI HAR MAHINE
MOHARRAM KA MAHINA AA GYA HEI

SUNA HEI UNN KO KURSI MIL RAHI HEI
JINHEN HONTON KO SEENA AA GYA HEI

Wo dil hi kya teray milnay ki jo doua na karay

Wo dil hi kya teray milnay ki jo doua na karay
Mein tujhko bhool k zinda rahoon "KHUDA" na karay

Raheiga saath tera pyar zindagi ban kar
Ye or baat meri zindagi wafa na karay

Ye theek hay nahi marta koi judai mein
"KHUDA" kissi ko kissay say magar juda na karay

Sunna hay ussko mohabbat douaaein deti hay
Jo dil pay choot tou khaey magar gila na karay

Zamana deekh chuka hay parakh chuka hay ussay
"KAMAAL" jaan say tou jaaey per iltija na karay.....

AISA PAL

KOI AISA PAL BHE HUA KARAY
MAIN KAHU TOH BUS WO SUNA KARAY

MERI FURSATAIN MERAY MASHGALAY
SABI APNAY NAM LIKHA KARAY

KOI BAT HO KISI SHAM KI
KOI ZIKAR HO KISI RAT KA

JO SUNANAY BAYTHU USAY KBI TO
NA DIN DHALAY NA HE RAT HO

KABI MAIN KAHU JO CHALO US NAGAR
JAHA JUGNUON KA HUJOOM HO

WO PALAT K DAIKHAY MERI TARAF
AUR MJ KO PAGAL KAHA KARAY

Teri yad se rishta

Teri yaad se rishta kal be tha,
Teri yaad se rishta aaj be hai


Dil apna dukhta kal be tha,
Aur afsurda aaj be hai

Woh pyar jo hum tum se karte thay,
Woh pyar tu zinda ajj be hai

Tum door howe majboori mein,
Hum bichur gae is doori mein

Kabhi waqt miley tu chale ana,
khula Dil ka Darwaza ajj b hai

Maine tumhain yaad kia

jab kabhi mosmoon main khushbu bikhar jay
jab kabhi chandni main raat nikhar jay

jab kabhi badal ki garaj dil main utr jay
jab kabhi yunhi be waja hi dil ki dharkan mchal jay

to sochnaaa
k main ne tumhain yaad kia

Sogg....!

Falak pe chaand k haalay bhi sog kertay hain
Jo nahi to ujaalay bhi sog kerte hain


Nagar Nagar mein woh bikhray hain zulm k manzar
Humari ruh k chhalay bhi sog kerte hain

Usay kaho sitam mein woh kuch kami ker day
K zulm todnay walay bhi sog kerte hain

Tum apnay dukh pe akailay nahi ho afsurda
Tumharay chahnay walay bhi sog kerte hain

Is se pehle hoja subha mujh se bat karo

Is se pehle hoja subha mujh se bat karo
beet jaya na kaheen raat mujh se bat karo


hai guzarish ye mere dil ki tm kuch to kaho
youn na bus dheke mujhe jao mujh se bat karo

tanha milney ko to akser hi kaha kerte they
ab hein tanha nhi koi mujh se bat karo

YE Din yE rAAt MuJhY AcHy LaGtY hYn

JO ho tum mery saath tu ye din ye raat mujhy achy lagty hyn
Tumhary saath bitaye lamhaat mujhy apny sy lagty hyn

Bohat door tuk chulna phir bhi wahin rehna
Mujhy tum sy tumhi tuk k taallukaat achy lagty hyn

Kanch ki guria

Pathron k sodagar say
kanch ka soda karny wali

pathar say takraye jb
toot k bikhri reza reza

reza reza jor k khud
ko jb wo ikatha kr paye

tb b tars na aya us ko
d phir say wohi judai

ab k bar tu tooti aisay
KANCH KI HO GURIYA JAISAYYYYY

MERI WAFA NY TUJHY BEWAFA BANA DIA

AAJ ACHANUK TERI YAAD NY RULA DIA
KIA KAROON TUM NY TU MUJHY BHOOLA DIA

NA KURTY WAFA TU NA MILTI YE SAZA
MERI WAFAON NY TUJHY BEWAFA BANA DIA

Piyar Hy Bekaar Piyar K Ehsaas K Baghyr

Ye Mana K Zindagi Kuch Bhi Nahin Piyar K Baghyr
Pur Piyar Kuch Bhi Nahin Ehsaas k Baghyr

Badly Myn Piyar K Mily Piyar Tu, Tu Theek Hy
Warna Piyar Hy Bekaar Piyar K Ehsaas K Baghyr

Followers