Friday, May 1, 2009

A Hug Certificate for You!


If I could catch a rainbow
I would do it just for you
And share with you its beauty
On the days you're feeling blue.

If I could build a mountain
You could call your very own;
A place to find serenity,
A place to be alone.

If I could take your troubles
I would toss them in the sea,
But all these things I'm finding
impossible for me.

I cannot build a mountain
Or catch a rainbow fair,
But let me be what I know best,
A friend who's always there.

Thursday, April 30, 2009

Tum Nara Bethi Ho


Koi Bhi Geet Gao Ge, Hum Yaad Aaenge -=-
Shab Bhar Jab Jago Ge, Hum Yaad Aaenge

Meri Baanhen Theen, TeriPanaahen Theen -=-
Kisi Ko Gale Lagao Ge, Hum Yaad Aaenge

Dard Sone Nahi Dega Adhi Raat Ko -=-
Jisey Bhi Jagao Ge, Hum Yaad Aaenge

Aansu Nikal Aaenge Jab Tanha Rasto`n Pe -=-
Pather Para Pao Ge, Hum Yaad Aaenge

BariSh Ki Boond Boond Pe Likha Mera Naam Hai -=-
Poore Bheegh Jao Ge, Hum Yaad Aaenge

Geele Balon Se Mansoob Hen Kuch Kahaniyan -=-
Jab Baal Sukhao Ge, Hum Yaad Aaenge

Mazi K Azab Lamhe Tum Pe Jo Guzre -=-
Kisi Or ko Sunao Ge, Hum Yaad Aaenge

Me Jesa B Tha Tumhara Tha Janan -=-
Koi Apna Banao Ge, Hum Yaad Aaenge

Chhoti Chhoti Si Be-Maani Baton Pe -=-
Choat Ghehri Khao Ge, Hum Yaad Aaenge

Suno Aisa Nahi Kerte, Suno Wesa Nahi Kerte -=-
Bachon Ko Samjhao Ge, Hum Yaad Aaenge

Apna Khayal Rakhna, Kandhe PE Shaal Rakhna -=-
Sardi Mai Jise Bachao Ge, Hum Yaad Aaenge

Tum Bhi Magroor Huwe, hum Bhi `Mansoor` Huwe -=-
Jab Guroor Aazmao Ge, Hum Yaad Aaenge

AB yaad dilain kia tumko


AB yaad dilain kia tumko
yeh waqt be akhir beet gya
aur apna bi kuch dosh nai
yeh bazi bi jag jeet gaya wo sard hawaien ab bi hain
rangeen fizaian ab bi hain
wo bhigay bhigay pani ki
purshoor sadaein ab bi hain

main ab bi wahan per jata hoon
or dil apna sulghata hoon
ab tum jo nai ho sath meray
hotay hain khali haat meray

wo sard havaein pochti hain
wo kahain gya dost tera ?
kya phir yeh zamana jeet gya ?

Mohabbat

Mohabbat ab nhe ho ge
ye kuch din baad main ho ge"

gzr jaein ge jb ye din
ye inn ke yaad main
ho ge"

Bohat masoom hasrat he..

Bohat masoom hasrat he..
btao kia kiya jae

mjhe tm se mhbt he,
btao kia kiya jae

jb sooraj doobta hai dil b mera doob jata he..
ajab c meri halat he btao kia kiya jae..

tmse milne ki chahat mri kb he,
dil-e-nadaan ki yeh zid he,btao kia kia jai...

kuch na kisi se bolain ge


kuch na kisi se bolain ge

ab tanhai mai ro le ge

khud to hue ruswa lakin

tere bhaid na kholain ge

neend to kaise aye gi

maut ayi to so le ge

Koo ba Koo baat phail gae shanasae ki


Koo ba Koo baat phail gae shanasae ki,
Os ne khushbu ki tarha meri pazerae ki,
wo kaheen bhi gaya lota to meray paas aaya,
bas yehi ik baat achi hai meray harjae ki,
kesay keh doon k bhula diya hai os ne mujhay,
Baat to sach hai mager baat hai ruswae ki,
os ne jalti hue peshani pay jo hath rakha,
Rooh tak aa gae taseer maseehae ki,
Ab bhi chandni raton mei badan toot'ta hai,
Jaaf othti hain ajab khuwahishain angarae ki.

Suna hai tumne


Suna hai tumne ameero se dosti kar li,
TABAAH SAMAJH LO K ZINDAGI KAR LI,
Ye jab khula k ameero ki dosti kya hai,
TAB GHAREEB KI BETI NE KHUDKUSHI KAR LI.,.

Kamzor


Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain?
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain

apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain

Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain

Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain

Duniya teray faraib say jobach k nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain

Kuch door hamare saath chalo.....


Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge

Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge

Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge

Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain “Ashk” mager
Har baat poorani kehdein ge

Sochnay samajhnay saysath sath chalnay say


Sochnay samajhnay saysath sath chalnay say
doriyan simat ti hain faslay nahi chaltay khawab
khawab ankhon main ratjagay nahi chaltay
darguzar k halqay mainmaslay nahi chaltay
dosti k raston ki parwarish zarori hai
dosti k rastay main khafgiyan nahi chalti
do dilon ki qurbat mainTeesra nahi hota w
astay nahi chaltay

Rah e Ishq main ik diya jalay bethay hain

Rah e Ishq main ik diya jalay bethay hain
beech sahra main ik ghar sa banay bethay hain bikhar na jay koi qafla sar e manzil
khoon e dil say ik rasta sa banay bethay hain
pardes gaya tha kabhi jo lot na aya wapis
hum to janay kas say us ki aas lagay bethay hain
dunia to dharaktay huoon ko tor deti hay
hum to ik toota huwa dil khood say lagay bethay hain

NOW is the cherry in blossom

NOW is the cherry in blossom, Love,
Love of my heart, with the apple to follow;
Over the village at nightfall now
Merrily veers and darts the swallow.

At nightfall now in the dark marsh grass
Awakes the chorus that sings old sorrow;
The evening star is dim for the dew,
And the apple and lilac will bloom to-morrow.

The honeysuckle is red on the rock;
The willow floats over the brook like a feather:
In every shadow some love lies hid,
And you and I in the world together.

-Mary Eleanor Wilkins

Followers