Thursday, February 26, 2009

Bas itni si inaayat mujhpe aik baar kijiye

Bas itni si inaayat mujhpe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaiye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hun aapkee rahungee aitbaar kijiye

Parrhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar , kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
Hum pyaar ke bhookhe hain hame pyaar kijiye

PHIR AJJ KOI GHAZAL TERE NAAM NA HO JAYE

PHIR AJJ KOI GHAZAL TERE NAAM NA HO JAYE ,
AAJ KAHIN LIKHTAY LIKHTAY SHAM NA HO JAYE,

KAR RAHA HOON INTAZAR TERE IZHAR-E-MOHABAT KA ,
ISE INTAZAR MEIN ZINDAGEE TAMAM NA HO JAYE,

NAHI LAYTA TERA NAAM SARE-E-AAM IS DAR SAY,
KAHIN NAAM TERA BADNAAM NA HO JAYE ,

MANGTA HOON DUA JAB BE TU YAAD ATEE HAI ,
KAY JUDAI MERE PIYAR KA ANJAM NA HO JAYE

SOCHTA HON DARTA HON AKSAR TANHAI MEIN,
US KAY DIL MAIN KISI OR KA MAQAM NA HO JAYE

AAJAYE KISI DIN TUU AISA BAHI NAHI LAGTA

AAJAYE KISI DIN TUU AISA BAHI NAHI LAGTA
LAIKIN WOH TERA WADA JHOOTA BHI NAHI LAGTA

MILTA HAI SUKOON DIL KO US YAAR K KOOCHAY MEIN
HAR ROZ MAGAR JANA ACCHA BHI NAHI LAGTA

DAIKHA HAI TUJHAY JAB SE BE CHAIN BOHAT HAI DIL
KEHNAY HO KOI TUJH SE RISHTA BHI NAHI LAGTA

BARAYE MEIN QATEEL US K SOCHEIN BHI TO KIA SOCHEIN
WOH GHAIR NAHI LAIKIN APNA BHI NAHI LAGTA

AAJAYE KSIS DIN TU AISIA BHI NAHI LAGTA
LAIKIN WOH TERA WADA JHOOTA BHI NAHI LAGTA

Lagta Nahi Sath Nibhaye Ga Dair Tak

Lagta Nahi Sath Nibhaye Ga Dair Tak
Lekin Wo Mujh Ko Bhool Na Paye Ga Dair Tak

Jo Bhi Qareeb Aye Ga US k Use Zaroor
Wo Meri Daastan Sunaye Ga Dair Tak

Dhonde Ga Wo Mujhe Inhin Galiyon Me Ik Din
Dhonde Ga Aur Mujh Ko Na Paye Ga Dair Tak

Main Saahilon Ki Reet Pe Likhon Ga Us Ka Naam
Wo Pani Pe Mera Naqsh Banaye Ga Dair Tak

Kis Haal Me Hon Us Se Bicharrne K Baad Main ABI G
Sun Kar Use Yaqeen Na Aye Ga Dair Takkkkkkkkkk

Anchal Se Nikalti Hoi Khushbu Hai K Jado

Aankhon Me Utri Hoi BeChain Hawa'ain
Anchal Se Nikalti Hoi Khushbu Hai K Jado

BeChain Se Uthte Howe Haathon Me Dua'ain
Aese Me Be Khayaal Ki Pur Kaif Haw'ain

Paa Zaib Hai K Pairron Me Khanakte Howe Ghungro
Tum Se Hi To Raaton Ko Chamakte Howe Jugnu

Chu Kar Tere Wajood Ko Madhosh Haw'ain
Ik Aalm_e_Madhoshi Me Kabhi Ayen Kabhi Jayen

Ruk Jain Parrindon Ki Urranain Jo Tu Bole
Chup Ho Tum To Theher Jain Udaasi Me Hawa'ain

Bas Itna? Faqt Itna? Faqt Itna? Tumhain Bata'ain?
Siekhi Hai Ghulaabon Ne Bhi Muskan Tum Hi Se

HOTI HAI MERE SHEHER KI PEHCHAAN TUM HI SE

Ek phool ko chonay ki khatir

Hum kasay pagel hotay thay
Ek phool ko chonay ki khatir


Kantoon say zakhmi hotay thay
Jo phool jholi main aa girta

Ussay choonay say dar jatay thay
Hum kasay pagel hotay thay

K dhondaly aaeinoon main apna
Hum aks sa dhoonda kertay thay

Aor kirchayan chatkhay aaeinoon ki
Muthi main daba ker rakhtay thay

Hum kasay pagel hotay thay
Jab sadak pay chalna hota tha

Hum kashti lay ker chaltay thay
Aor beech bhanwar janay k liyey

Hum padel nikla kertay thay
Hum kasay pagel hotay thay

Jab barish barsa karti thi
Hum chatri main chup jatay thay

Aor jalti dhoop main nangay sir
Hum chatt par uchla kertay thay

Hum kasay pagel hotay thay
Jab pass woh bohat hota tha

Hum uss ko dekh na saktay thay
Jab woh door chala jata tha

Hum aahat uss ki suntay thay
Hum kasay pagel hotay thay

Jab sari dunya soti thi
Hum chand say khela kertay thay

Jab sari dunya jag utthti thi
Hum thak ker so jatay thay

Hum kasay pagel hotay thay
Hum kasay pagel hotay thay

Hum aaj b wasay pagel hain
Hum aaj b wasay pagel hain

Mobhat

Tum kahtay ho tumhain pholon sa pyar ha
per tahnion sa unko tor lata ho


tum kahtay ho tumhain barish sa pyra
per jab barish hoti ha to tum chup jatay ho

tum kahtay ho tumhain hawaon sa pyar ha
per jab hawain chalti hain to tum khrikian band kar latay ho

mujhay dar lagta ha jab tum kahtay ho
mujhay tum sa mobhat ha

Meri Har Dharkan Mai Tum

Meri Har Dharkan Mai Tum,
Meri Har Saans Mai Tum,

Jaana Thumen Kaisy Batayn,
Meri Jevan Ki Aass Ho tum,

Jub Hota Ho Pass Tw Mil Jata Hai Sukoon,
Door Jub Jatay Ho Tw Kr Jatay Ho Odass Tum,

Meri Zindagi Hai Ik Sabaq Or Iski Kitab Ho Tum,
Dakho Tum Say Kitna Pyar Hai Mujhay,

Meri Rag Rag Mai Behty Khoon Ki Raftar Ho Tum,
Mai Tha Andheron Mai Phansa Howa,

Roshan Roshan kr Dia Mera Aftab Ho Tum,

Wo Shaks

TAROON KI CHAMAK DIN K UJALOO KI TARHA HAI ,
WO SHAKS TO BILKUL MERE KHUWBO KI TARHA HAI.

TO LAGE BEHTEY HUE JHARNOO KI MANIND ,
KHAMOSH HOTO AISA K SURAGOO KI TARHA HAI.

GHUSA HAI BOHAT , PYAR KA ANDAZ ALAG HAI ,
HAR BAAT MEIN ULJHE HUE DHAGOO KI TARHA HAI.

DIL KI DARKNO KO

DIL KI DARKNO KO AIK LAMHA B SABAR NAHI.
SHAYED K US KO AB B MERI KADAR NAHI


HAR SAFAR MEIN MERE KABHI HUMSAFAR THA WO
AB SAFAR TO HAI MAGAR WO HUMSAFAR NAHI.

wellwisher

Daro us din say k jab zalim ko

Daro us din say k jab zalim ko
Apna anjam nazer aata ha

Muntazir wakt k aainay me
Apna har kaam nazer aata ha

Gonp lo pait me khanger apna
Yeh hi pegham nazer aata ha

Sar e fehrist gunehgaron me
Apna hi naam nazer aata ha

Kocha e adal me apnay sir per
Sabit elzam nazer aata ha

Wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur smjha tha

Wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur smjha tha
usay hansnay ki adat thi ye dil kuch aur smjha tha

mujhay uss ne kaha aao nai duniya basaty hain
usay soojhi sharart thi ye dil kuch aur smjha tha

hamesha uss ki ankhon main dhanak se rang hoty thy
ye uss ki aam halat thi ye dil kuch aur smjha tha

wo mery pas betha dair tak ghazlain meri sunta tha
usy khud se mohabat thi ye dil kuch aur smjha tha.

TERI YAAD MERE

TERI YAAD MERE SAATH SAATH RAHTI HAI
MAGAR KAHIN NA KAHIN IK KAMI SI RAHTI HAI

MAIN SOCHTI HOON TUJHAI SOCHTI RAHOON LEKIN
MERI YE SOCH ISI SOCH HI MAIN RAHTI HAI

Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai

Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai
Apna kehnay se koi apna kahaa'n hota hai
Dhoondta rehta hoon..mai tujh ko chaman zaroan mai
Teri yaadoan k mehktay..hoey...Gulzaaroa'n mai

Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai
Koi bhi phool wahan tujh sa kahaa hota hai

Yaad aati hai tou muskaan si aajati hai
Goyaa duniyaa teri aankhoan mai simaat aati hai

Teri Rakhshinda jabeen or teri masoom haansiiii
Meri Neendoan mai faqat tera basar hotaa hai

Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai
Apna kehnay se koi apna kahaa'n hota hai

Aey meri jaan magar aisa kahan hota hai

Wo jo sari ummer ka riaz thaa

Wo jo sari ummer ka riaz thaa
wo kahan gaya kuch pata nhi


wo jo khuwab main aksar aata hey
wo kahan gayakuch pata nhi

main roee hon buhat muddad tak
aur tarsii hon us ki yaad main

wo kon hey wo kya hey
kya naam hey kuch pata nhi

meri ummer bhar ki kamaii hey
meri zaad ki takmeel heyy

wo kon hey woo kya heyy
kuch khaaz khaaz maloom nhi

kuch batain hain wo khaaz-o-aamm
kuch yaad bhii nhi kya batain hain

kuch laraii ki hain kuch gussey ki
kuch bilkul hii ajeeb sii hain

maloom nhi woo kon hey piyaroo
muddad huee ussey janain huee

naam pata bhi maloom hey hum ko
bas ummed hii hey ussey panain ki

Followers