Saturday, April 25, 2009

DOOORI


AJ PHIR US NE DOUR JANE KI BAAT KI
Q DIL LAGI HUM NE US KE SATH KI

US KE DOUR JANE SE AGAR HOTI KHUSHI HUM KO
TOH KYA WAJA THI HAMARI US KO YUO ROKNE KI

US K SATH KI WAJA SE TOH JI RAHE THE HUM
WARNA HUM TOH BAT KARTE THE DUNYA CHORNE KI

HUM KHUD AIK DIN US SE ITNI DOUR CHALE JAYEE GAY!
K BE CAR JAYEE GI SAB KOSHISHEIN HAMEE ROKNEKI!

MOHABBAT KI PUKAAR BANA DOON

Dukh dena to shayed uski fitart main shamil hai
Mera ye zarf k usey sajdoon main bhi dua doon

Meri Rooh tak to us k hisar main hai
Main is se badh kar usey aur kia doon

Wo shakhs k karta rahy kadam kadam pe munafiqat,
Magar main ye chahoon k use umar bhar ki wafa doon

Meri khushyun ka Qatil bhi wohi hai likin
Dil nahi manta k usey koi saza doon

Dhadkhta hai dil ban kar seene main wo
Tum he kaho kaise main usko bhula doon

Fasloon ne bhatka diya hai wo aisa to na tha
Mere qareeb aye to muhabbat ki pukar bana doon

USAY SAJDOON ME BHI DUAA DOON

Dukh dena to shayed uski fitart main shamil hai
Mera ye zarf k usey sajdoon main bhi dua doon

Meri Rooh tak to us k hisar main hai
Main is se badh kar usey aur kia doon

wo shakhs k karta rahy kadam kadam pe munafiqat,
Magar main ye chahoon k use umar bhar ki wafa doon

Meri khushyun ka Qatil bhi wahi hai likin
Dil nahi manta k usey koi saza doon

Dhadkhta hai dil ban kar seene main wo
Tum he kaho kaise main usko bhula doon

Fasloon ne batka diya hai wo aisa to na tha
Mere qareeb aye to muhabbat ki pukar bana doon

SOCHTA HOON


sochta hoon usay nind b aati ho ge
ya meri terha sirf aashq bahati ho ge


wo meri shakl mera naam bhulanay wali,
apni tasveer se kia aankh milati ho ge

us ne silwa b lie hoon gay seahaa rang libaas
ab muharam ki terha eid manati ho ge

USAY JAANAY KI JALDI THI

Mra maqsad bithana tha usay janay ki jldi thi,
Muje dukhra sunana tha usay janay ki jldi thi,

Nai tha wqt pas us k mri dastan sunta,
Bra lmba fsana tha usay janay ki jldi thi,

Milanay hath aya tha vo rasman hm faqeeron se,
Magr ye ek bahana tha usay janay ki jldi thi,

Bari muddt se khwahish thi magr qismat na thi yaro,
Galay usko lagana tha usay janay ki jaldi thi,

Usay rokta b to kaisy mai mray kehnay pe vo rukta kahan,
Usay hr haal jana tha usay janay ki jaldi thi,

UDAAS


AJ USKI MOHABBAT ME KUCH KAMI DAKHI
CHAND KI CHANDNI ME BHI KUCH NAMI DAKHI


UDAAS HOKAR LOT AE HUM APNE GHAR JB
MEHFIL USKI GHERON SE JAMI DAKHI

USNE DOOR REHNE KA MASHWARA

Us ne door reyna ka mashwara be likha hai.
Sath mai muhabbat ka wasta b likha hai.


Us ne ya be kaha hey mere ghar nahi aana
or saaf lafzon mai rasta be likha hai.

kuch haruf likhay hain zabt ki naseehat main.
kuch haruf mai us ne hosla be dia hia.

Shukira be dia hai dil se yaad rakhne ka.
Dil se dil ka hai kitna faisa b likha hia.

HAPPY BIRTHDAY TO U

Somebody up there Loves you

Somebody down here cares for you

Happy Birthday!!!

Your birthday is the perfect day to say

I care, because you will remember

me when u certainly make it a big affair and when you do hold a party... I

bet you will be the one who would care to make ur special day a costly

affair!!!!

Wo dil ka bura


Wo dil ka bura, na bewafa tha,
bas, mujhse yunhi bichar gaya tha,

Aik baar bichar k jab mila tha,
wo mujhse lipat k ro para tha,

wo chand ka humsafar tha shayad,
raaton ko tamam jagta tha,

kehne ko juda tha mujhse lekin,
wo meri ragon main goonjta tha,

usne jo kaha, kya wo dil ne,
inkaar ka kis main hosla tha,

yun dil main thi yaad us ki jaise,
masjid main charag jal raha tha,

us din mera dil B tha pareshan,
wo B mere dil se kuch khafa tha,

hum dono ka dukh tha aik jaisa,
ehsas magar juda juda tha,

kal shab wo mila tha doston ko,
kehte hain udaas lag raha tha,,,,,

LOGON KO"DUA "

LOGON KO"DUA " K LIYE KEHNE SE ZIADA BEHTER HY K AISE AML KARO K LOGON K DILSE APKE LIYE "DUA" NIKLE HAZRAT ALI (A.S)

WO JO DIL ME USKA MUQAAM HY

WO JO DIL ME USKA MUQQAM HY KISI OR KO WO DIA NAHI

WO JO RISHTA US SE HY BAN GAYA KISI OR SE WO BANA NAHI

WO JO PYAR US SE HOGAYA KISI OR SE WO HUA NAHI

WO JO RAAZ US SE KEHDIA KISI OR SE WO KAHA NAHI

WO JO SUKH MILA USKI ZAAT SE KISI OR SE WO MILA NAHI

WO BASA HY ANKHON ME JIS TRAH KOI OR ESE BASA NAHI

WO HUA HY JITNA QAREEB TARR KOI OR UTNA HUA NAHI

USKA NAAM DIL ME HY JIS TRAH KOI NAAM ESA LIKHA NAHI

Wada

khushboo ki terha meri her saans mein

pyar apna basane ka wada karo

rung jitne tumhari MOHABBAT ke hain

mere DIL mein SAJANE ka wada karo

hay tumhari WAFAOON pe mujh ko yaqeen

phir bhi DIL chahta hay mera DILNASHEEN

yun hi meri tassali ki khatir

zara mujh ko apna banane ka WADA karo

sirf LAFZOON se IQRARR hota nahin

ik janib se PYAR hota nahin

mein tumhen YAAD rukhne ki khaoon QASAM

tum mujh ko na BHULANE ka WADA karoo....

Mere ho ke raho

apni khatir jage ho soye ho

apni khatir hanse ho roye ho

kis liye ajj khoye khoye ho

tum ne ansoo bohat piye apne

tum bohat saal reh liye apne

ab mere sirf mere ho ke rahoo


husn hi husn ho , zahaanat ho

ishq hoon mein to tum mohabbat ho

tum meri bas meri amanat ho

ji liye , jis qadar jiye apne

tum bohat saal reh liye apne

ab mere sirf mere ho ke rahoo




dil ki her baat dil se kehne do

meri bahoon mein khud ko behne do

muddatoon zakham khud sahe apne

tum bohat saal reh liye apne

ab mere sirf mere ho ke rahoo......


Intekhaab

mujhe nigahoon ki pakeezgi parakhni hay

tum apne chehre pe koi naqaab mat rakhna

hamare baad teri justujoo tamaamm hoi

hamare baad koi intekhaab mat rakhna..

Unke Chehre Ka Noor

Unke Chehre Pe Is Qadar Noor Hai
kI unki Yaad Me rona bhi manzoor hai
bewafa bhi nahi kah sakte unhe
kyo ki pyaar to hamne kiya tha wo to bekasor hai.

Bahane

mujh se milne ke woh kerta tha bahaane kitne

ab guzaare ga mere sath zamaane kitne

mein giri thi to bohat log ruke the lekin

soochti hon ke mujhe aaye the uthane kitne....

chalo aik nazam likhte hain

chalo aik nazam likhte hain

kisi ke naam kerte hain

mager ye soochna hay ab ke ismein ziker kis ka ho?

ke ismein baat kiski ho?

ke ismein zaat kiski ho?

or ye bhi farz kerte hain ke jis pe nazan likhte hain hamen

usse mohabbat hay?

hamare sare jazbon ko bas ussi ki zarorat hay!

chalo aik kaam kerte hain

hum jo nazam likhte hain tumhare naam kerte hain

tumhi unwaan ho iska

tumhara hi zikir hay ismein

tumhari hi baat hay ismein

tumhari hi zaat hay ismein

to phir ye farz bhi hoga.

humen tum se mohabbat hay

hamare sare jazboon ko

tumhari hi zarorat hay

chalo aik nazam likhte hain

tumhare naam kerte hain..........

MOHABBAT

MOHABBAT!
jis ke bagher app ki zindagi adhori hay
.jis ke bagher her rishta be mayeni hay.
MOHABBAT'jis ke bagher kainatka her rung be rung hay.
jis ke bagher her ehsaas khali burtan ki terha.MOHABBAT.
jis ke bagher insaan bemool.MOHABBAT.
jo anmool bana deti hay her rishte her ehsaas ko.
her shey her rung ko.
issi MOHABBAT .
ke naam ye khoobsorat nazam.




Khaak


khaak urti hay raat bhur mujh mein

koun phirta hay durbadur mujh mein

mujh ko mujh mein jagah nahin milti

tu hay moujood iss qadar mujh mein...

Itna Bhi Aasan Nahi


Aik umer tapasya katti hai
Tab kundan bun ker niklay hain
Is dunya ki her baat ko sehna
Itna bhi aasan nahi....
Tunay to bus kah diya huns kay
Sath nibhana mushkil hai
Her gham ko, par huns kar sehna
Itna bhi aasan nahi.....
Dunya ka kia shikwa kerna
Tunay hi jab choar diya
Hum bhi to insaan hi tahray
Her pal gham hi sehtay jana
Itna bhi aasan nahi.....
Socha tha tairay baad ye jiwan
Shayed beet hi jaiey ga
Per tairay bin, ye umer bittana
Itna bhi aasan nahi.....
Saawun ki pehli baarish ho to
Dil may hook si uthti hai
Tairay bin bersaat manana
Itna bhi aasan nahi.....
Din bher to ye gerdishay doraan!
Saath nibha hi daiti hai
Raat ko tunha jagtay rehna
Itna bhi aasan nahi....

Khushiyon ki dukaan


Kash khushiyon ki koi dukan hoti,
hume v usko pehchan hoti,

bhar dete aapk daman khushiyon se,
kimat uski chahe meri jaan hoti Aftab khan.

Mehfil-e-wafa


Arz hai-Taras jaoge tum mehfil-e-wafa ke liye,
Kisi se pyar na kar Khuda ke liye...

Jab lagegi ishq ki adalat ek din,
Tum hi chune jaoge saza ke liye

MOHABBAT NA HOTI!!!!!

Is jahaan mein mohabbat kaash na hoti,

To safar-e-zindagi mein mithaas na hoti,

Agar milti bewafao ko saza mein maut to,

Deewano
ki kabrein udaas na hoti........ .

Meri mohabbat ne unhe khushi de di,
Badle mein mujhe khamoshi de di,
Khuda se dua mangi thi marne ki,
Lekin usne bhi jeene ke liye zindagi de di........................

Makalmati nazam


wo kahti hy!
sabhi gazlain mugy kagaz ap likh bahjo
my khta hon!mari gazlain to sab tari he batain hain

wo kahtihy! koi din b milan ka din b ay ga
my khta hon! k kia bahte nhe wo aj ka din ho

wo khte hy! tumhain q iss qadar jaldi hy milny ke
my kahta hon! mugy har pal azaby jan lagta hy

wo kahti hy! muhabt sy musart bahr gai dil sy
my khta hon! abi kuch gam b niklain gain taaqub my

wo kahti hy! muhabat my buht nadan ho tum to
my kahta hon! masail sy both anjan ho tum to...

churriya or larrkiya

aik jesi lagti hain churriya our larkiyan...
tot'ti hain,hansti hain churriya our larrkiyan..
nazuki inteha hai ik zara se thais se...
tot kar
bikharti hain churriyan our larrkiyan...
zindagi ki dharkan ko ik ridham sa daiti hain...
zeest ko sjati hain larrkiya our churriyan...
piyar ki ruton par b kia nikhar ata hai..
bewja khanakti hain churriya our larrkiyan..
apny dukh ko dil ky sath rakh k bhol jati hain...
kis qadar chamakti hain churriyan our larrkiyan..

Pathar py nam likna......

pathar py nam likna
ta mashagla mara
hum sar karty karty
unchi chatan par ty dono ny likahy
dochar roz phly pardas sy do i
kahny lagi k aoo
in pataroon ko dohdain
jin py ty nam apny
hum sar karty karty
unchi chatan par ty
likan wahan wo pathar
mojood ab nhe ta
kuch dar chup rahy hum
phr wahan sy loat ay
rasty main my ny dakah
wo mutmahn buht te
halat ny ussy b
pathar bana deya hy

Aksar ye hota hay aitbar main

aksar ye hota hy aitbar may qaul-o-qarar tor kr chaly jaty hain
milty hain do char din phr chor kr chaly jaty hain

jane kyu logon may bemurawati hy itni
rishty banaty hain aur monh mor kr chaly jaty hain

koi kary na yakeen kisi ke ehad-e-wafa pay .
zulfon ki chaon may bithaty hain kuch der aur besaiban chor kr chalyjaty hain

koi to hoga sabab yun berukhi ka un ki koi batay mry yar ko
kabil-e- deed na sahi pr un ki chah main hm machaly jaty hain

samaitati hon hr bar khud ko un ki kuj adai sy jab tot jati hon
khuwab us shaks ky atay hain aur mjh ko bikhra kr chaly jatay hain

dyar-e-dil ki rah main jub bhi umeed ki shama jalati hon sadaf
jhonkay khizan ky atay hain aur loo bujha kr chaly jaty hain

Sitara

zameen per paoon the.qayaam aasmaan mein tha

meri terha se wo shakhs bhi imtehaan mein tha

ye roshni thike uska chehra dheyaan mein tha

sitara sa ik chiraagh mere makaan mein tha..

Mohabbaten....

souda junoo ka surr se uter to nahin gaya
majnoo nikal ke dasht se ghar to nahin gaya


such hay ke tere bad udasi ka raaj hay
lekin tere firaaq mein murr to nahin gaya


kum ho gain hain gur che junoo khezian mager
dil se kisi ke ghum ka asar to nahin gaya


manzil na mil saki ye muqaddar ki baat hay
sad shuker hum se zooq e safar to nahin gaya


poocha na phir palat ke aseer e junoo ka haal
tujh se bichur ke jaan se guzar to nahin gaya.

ZID CHAAND PANE KI

ik ada apki muskurane ki....
ik ada apki dil churane ki....
ik ap ka chand sa chehra....
ik zid hamari chand pane ki....

IK SHAKS JO BICHAR GAYA


Woh dil main jo bus gaya tha
mere rooh tak main utar gaya tha
woh zindagi se gaya to yun laga
k jism
bejaan ker gaya hai
woh ik shaks jo bichar gaya hai...............

Daastaan-e-gham-e-dil

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon
mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi

Bhoolne waale

Bhoolne waale se koyi keh de zara

is tarah yaad aane se kya faaida,

Jab mere dil ki duniya basaati nahin

phir
khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida

ITS FOR BEWAFA WHITCH IS MY LOVE

Tujhay zindgi ka shaoor tha tera kya bana?

Tu khamosh kyun hai mujhay bata,tera kya bana?

Wo jo naseeb se teri jangthi meri bhi to thi,

Main to kaamyab na ho saka tera kya bana?

Nai manzilon ki talash thi so bichar gaye,

Main bichar k tujh se bhatak gaya tera kya bana?

Main muqaablay mein shareek tha faqat es liye,

koi mujh se aa k poochta tera kya bana.

Mujhay ilm tha k shikast mera naseeb hai,

Tu umeedwaar tha jeet ka,tera kya bana.?

(MY ALL POETRY FOR BEWAFA MY LOVE)

Kia jane q kud py setam


Kia jane q kud py setam hum ny keya hy
aik wada faramosh ko dil apna deya hy

mat pochen kia hal hy furqat my hamara
rotain hain buth jab b usy yad kia hy
har aas hoi khatam mulakat ke lakin
umed ka roshan aik bujta sa deya hy

paya hy ajab chain adeem us sy bechar k
warna gham-e- furqat my bhala kon jeya hy....

Miltain hain boht.......

miltain hain bht par koi tum sa nhe milta
afsooos koi chahny wala nhe milta

tum ks sy mari jan-e-wafa mang rahyho
sehra my to dewar ka saya nhe milta

kuch bol tari simt qadam kesy uthaon
har moor py dewar hy rasta nhe milta

my doohp k melay my gawa batha ta jis ko
iss bhheer my wo chand sa chahra nhe milta

Rutain badal jati hain


rutain badal jati hain mosam badal jaty
apnay hoty huy bi log badal jaty hai
bola tha
bola thamy ny badal na jana tm in mosmon ki tarh
kah dosti ky mosam main dost badal jaty hain

to ym ny kha tha may wo andaz ni jo roz badal jaty hain
my wo raz ho jis sy yaro kay din badal jaty hain

main doobti chali gyi tary zat main mjy malom na tha
darya jab sumandar my milty hain to kinary badal jatay hain

mainay to hr pahchan apni tary nam kr di thy phr kyu aisa hua
dil main jaga ni koi mari isliye try bayan ab badlay jaty hain

kya yehi matlab hai dosti ka to main khud thukrati ho isay sadaf
kyu k jaha talluk bay maenay hoty hain waha khayal badal jaty hain

Followers