Dukh dena to shayed uski fitart main shamil hai
Mera ye zarf k usey sajdoon main bhi dua doon
Meri Rooh tak to us k hisar main hai
Main is se badh kar usey aur kia doon
wo shakhs k karta rahy kadam kadam pe munafiqat,
Magar main ye chahoon k use umar bhar ki wafa doon
Meri khushyun ka Qatil bhi wahi hai likin
Dil nahi manta k usey koi saza doon
Dhadkhta hai dil ban kar seene main wo
Tum he kaho kaise main usko bhula doon
Fasloon ne batka diya hai wo aisa to na tha
Mere qareeb aye to muhabbat ki pukar bana doon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment