Saturday, April 25, 2009

MOHABBAT KI PUKAAR BANA DOON

Dukh dena to shayed uski fitart main shamil hai
Mera ye zarf k usey sajdoon main bhi dua doon

Meri Rooh tak to us k hisar main hai
Main is se badh kar usey aur kia doon

Wo shakhs k karta rahy kadam kadam pe munafiqat,
Magar main ye chahoon k use umar bhar ki wafa doon

Meri khushyun ka Qatil bhi wohi hai likin
Dil nahi manta k usey koi saza doon

Dhadkhta hai dil ban kar seene main wo
Tum he kaho kaise main usko bhula doon

Fasloon ne bhatka diya hai wo aisa to na tha
Mere qareeb aye to muhabbat ki pukar bana doon

No comments:

Followers