Saturday, April 25, 2009
Itna Bhi Aasan Nahi
Aik umer tapasya katti hai
Tab kundan bun ker niklay hain
Is dunya ki her baat ko sehna
Itna bhi aasan nahi....
Tunay to bus kah diya huns kay
Sath nibhana mushkil hai
Her gham ko, par huns kar sehna
Itna bhi aasan nahi.....
Dunya ka kia shikwa kerna
Tunay hi jab choar diya
Hum bhi to insaan hi tahray
Her pal gham hi sehtay jana
Itna bhi aasan nahi.....
Socha tha tairay baad ye jiwan
Shayed beet hi jaiey ga
Per tairay bin, ye umer bittana
Itna bhi aasan nahi.....
Saawun ki pehli baarish ho to
Dil may hook si uthti hai
Tairay bin bersaat manana
Itna bhi aasan nahi.....
Din bher to ye gerdishay doraan!
Saath nibha hi daiti hai
Raat ko tunha jagtay rehna
Itna bhi aasan nahi....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment