Friday, April 17, 2009

JUDA

Ek Lumha Tha k Jab Saray Rang Ek Howay

Kisi Bahar Ne Dekha Na Asa Sangham Phir.........

Jab se tune mujhe deewana bana rakha hai

JAB SE TUNE MUJHE DEEWANA BANA RAKHA HAI.
SANG HAR SAKHS NE HATON ME UTHA RAKHA HAI.
USKE DIL PER BHI KARI
ISHQ ME GUZRI HOGI.
NAAM JISNE BHI MOHABBAT KA SAJA RAKHA HAI.
PATHRON AAJ MERE SAR PE BARASTE KYUN HO.
MEINE TUM KO BHI KABHI APNA KHUDA RAKHA HAI.
AB MERI DEED KI DUNIYA BHI TAMASHAI HAI.
TUNE KYA MUJH KO MOHABBAT ME BANA RAKHA HAI.
PI JA AYYAM KI TALKHI KO BHI HANS KER "NASIR"
GHAM KO SEHNE ME BHI KUDRAT NE MAZA RAKHA HAI.

Teri Suljha Doonga

Kal Mila Waqt To Zulfain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhane Main
Yoon To Sulajh Jatee hain UljheeZulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Jub neend se mera ta'alluk hi nahi barson se


Log har mor pe ruk ruk k sambhalty kyon hain,

Itna dartay hain to phir ghar se nikaltay kyon hain,

Main nakoi jugnu hon na diya na chand,

Phir roshni wale mere naam se jaltay kyon hain,

Jub neend se mera ta'alluk hi nahi barson se,

khwab aa aa k meri palkon pe tehltay kyon hain,

Is main mosam ka qasoor hai ya logon ka,

Log mosam ki tarha pal bhar mein badaltay kyon hain...

"KABHI TOOTA NAHIN KERTEY"

Me sun k us ki sub batein faqat itna he kehta hon

khafa hona, manaa lena

ye sadyeon ki rewayat hai

mohabbat kialamat hai

giley shikway karo mujh se

tumhien yara ijazat hai

magar ek bat meri b zra tum yad rakh lena

kabhi aisa b hota hai

hawaen rukh badalti hein

khezaen lot aati hein

khataen ho
hi jati hein

khafa hona b mumkin hai, khata hona b mumkin hai

humesha yaad rakhna tum

taluq,rooth janey se

"KABHI TOOTA NAHIN KERTEY"

Ye kya K sb se baya..n dil ki halaten krni? tujh ko na aai, muhabten krni.. Ye qurb kya hai Ktu saamne hai or humey Shumar abi se judai ki sa'aten krn

Ye kya K sb se baya..n dil ki halaten krni?
tujh ko na aai, muhabten krni..
Ye qurb kya hai K tu
saamne hai or humey
Shumar abi se judai ki sa'aten krni.
Koi KHUDA ho K pathar... Jise B hum chahe..
Tamam umr usi ki IBADATEN krni..
Hum apne dil se hain majbur or logon ko
Zra C baat pe barpa qayamaten krni.
Milen jb un se to mabham C guftagu krna
Phir apne aap se so so wazahaten krni..
Ye log kese mgr dushmani nibhate hain
Humey to raas na aain muhabten krni
Kbi naye mosamon mai ro dena..
Kbi talash purani rafaqaten krni..

Hum apne dil se hain majbur or logon ko

Ye kya K sb se baya..n dil ki halaten krni?
tujh ko na aai, muhabten krni..
Ye qurb kya hai K
tu saamne hai or humey
Shumar abi se judai ki sa'aten krni.
Koi KHUDA ho K pathar... Jise B hum chahe..
Tamam umr usi ki IBADATEN krni..
Hum apne dil se hain majbur or logon ko
Zra C baat pe barpa qayamaten krni.
Milen jb un se to mabham C guftagu krna
Phir apne aap se so so wazahaten krni..
Ye log kese mgr dushmani nibhate hain
Humey to raas na aain muhabten krni
Kbi naye mosamon mai ro dena..
Kbi talash purani rafaqaten krni..

Dukh därd bhi Sèhty häin Tämäshä nähi K&aum

Häm tööt bhi jääty häin töu chärchä nähi kärty.
Dukh därd bhi Sèhty häin Tämäshä nähi Kärty.
Häm äpny Mäfädät Ki TäkmilKi Khätir.
Här Shäkhs Ky Jäzbäät Sy Khèilä Nähi Kärty.
Häm Kö Köi Gilä Hy Töu Khud äpny Dil Sy Hy.
Aurön Py Häm ilzäm Täräshä
Nähi Kärty.
Mätläb Pärästön Ky Jö Aädi Nähi Höty.
Wö Häät Milä K Käbhi Chörä Nähi Kärty.
Kuch Is Tärhä K Lög Bhi Mil Jäty Häin Aksär.
Jö PYAR tö krtè Häin NIBHAYA
Nähi Kärty..

WO KEHTI HY MUJHE HAWAON SE PYAR HY LEKIN


WO KEHTI HEN MUJHE PHOLON SE PYAR HY LEKIN....
JB PHOOL KHILTE HEN TO WO UNHE TOUR DETI HY.....


WO KEHTI HY MUJHEBARISHON SE PYR HY LEKIN....
JB BARISH HOTI HY TOU WO KAMRE ME BAND HOJATI HY.....


WO KEHTI HY MUJHE HAWAON SE PYAR HY LEKIN....
JB HAWAEN CHALTI HEN TOU KHIRKIAN BAND KARDETI HY.....

OR US WAQT SE MUJHE DARR SA LATGA HY K ....
WO KAHEY "KANWAL" MUJHE TUMSE PYAR HY....

Dosti kay rishtay my bhi dhuka mila

ye dunya hay yaha har shaks anokha mila
mohabat hi ni dosti ky rishtymy bhi dhuka mila

dava krna mukhlisi ka asan smjhty hn log
hmain to har wada ky badly my bhi rona pra

nhi rha ab aitbar kisi rishtay pay is jahan may
rab janta hay ghrayao ko mry ishq ki jis my mjh ko sub khona pra

kis umeed py zinda ho kuch pta nhi sadaf
bus itna janany k arzo h us ko mjy dukha kr kya mila


MERI MASOOM SI PEHLI MOHABBAT

MERI MASOOM SI PEHLI MOHABBAT
WO MERI ZINDAGI KI SABSE SACHHI MOHABBAT


WOJO MUJHE MILA NAHI HY AB TAK
JIS KE LIYE YE MERI ANKHEN PUR NUM HEN BOHAT

USAY MUJHSE KABHI THI ITNI SHIDDAT SE MOHABBAT
AYE KHUDA JAGA DE PHIR SE USKE DIL ME MERI WO PEHLI SI MOHABBAT

KABHI JO ME ROOTH JATA THA PEHLE JO USS SE
WO MUJHE DIN RAAT KARKE PYAR KI BATEN MANATA THA BOHAT

JO KARTI THI WO MUJH SE BOHAT PYAR SE BATEN
ME USKO HANSATA THA KAR K SHARARTEN BOHAT

WO MERA THA MERA HY ME USKA HON BAS
ME CHAHTA HOON USAY HAR PAL SOCHTA HON BOHAT

KABHI TOU HONGI MERI DUAIN PORI KABHI TOU SUNEGA KHUDA
ME HAR PAL HAR GHARI DUAON ME USAY MANGTA HON BOHAT

AYE KHUDA TU RAHEEM HY TU KAREEM HY TU HE SUNTA HY DUA
BAS LIKH DE USKA SATH QISMAT ME TERA HOGA MUJHPE EHSAN BOHAT

TERI REHMATO KA TERI NAIMTON KA KOI JAWAB NAHI
TU BAS MUJHE NAWAZ DE PHIR SE USKI BAS MOHABBAT

MUJHE TERI KISI BAAT SE INKAAR NAHI
MENE SAJDON ME BHI TUJHSE MANGA HY USAY BOHAT

MILA DE KASH US SE TU MUJHE BAS
AJAENGI MERI ZINDAGI ME KHUSHIAN OR MOHABBAT

WO RAHE JAHAN BHI BAS BOHAT KHUSH KANWAL
WO MERI PEHLI SI MOHABBAT WO SAB SE SACHHI MOHABBAT

MERE HATTH MAIN APPNA HATH DE

KABI KHUD HI MERE PASS AA MERI BATT SON MERA SATH DE
JO KHALISH HAI DIL SE NIKAL KE MUJE
OLJANO SE NIJAT DE
TUJE SOCHNA MERA MUSHGHLA
TUJE DEKHNA MERI ARZU
MUJE DIN DE APPNE KHIYAL KA
MUJE KURB KI IK RAT DE
MERI ZINDAGI MERE SATH CHALL
MERE HATH MAIN APPNA HATH DE

Ajj tak yaad hay wo shaam e judai mujh ko

awwaleen chaand ne kiya baat samjhai mujh ko

yaad aai teri anggasht hinaii mujh ko


dekhte dekhte taaron kasafar khatam hoa

soo gaya chaand mager neend na aai mujh ko


inhin ankhon ne dikhaye, kai bhurpoor jamaal

inhin ankhon ne shub e hijir dikhai mujh ko


saye ki terha mere sath rahe runj o aalam

gurdishe e waqt kahin raas na aai mujh ko


dhoop idhar dhulti thi, dil doobta jata tha udhar

ajj tak yaad hay wo shaam e judai mujh ko.

Tumhin Janaa Ijazat Hai

Tumhin Janaa Ijazat Hai....!!!
Keh In Tareek Rahoon Per
Thakan Si Khud Main Pao To...
Andheron sey Kabhi Dil Dol Jaey
Thak SayJao To...!!!
Meray Jaltey Hoey Lamhon
Meray Kangaal Hathon Se
Chhura K Apny Hathoon Ko
Fazza Ki Naghmagi se
Tum Naey Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Per
Naey Khaab Tum Bun Lena
Koi Ger Pochey Mera To
Is Sey Mera Ziker Mat Karna
Meray Jeevan Ki Jalti Dopehr Se
Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Ratoon Main
Jugnu Paltey Rehna
Meri Tanhaion Ki Vehshatoon Ki
Fiker Mat Karna
Tumhen Is Ki Ijazat Hai
Meray Sab Khat Jala Dena
Meri Her Yaad Ko Dil Se
Khurachna Aur Mitta Dena
Tumhin Bilkul Ijazat HAi...
K Jab Chaho Bhulla Dena
Mager Itni Guzarish Hai....
Ager Aesa Na Ho Janaa
To Acha Hai....!!!

Me aisi muhabbat kerta hoon

mujhy thandak rass nahi aati barish se khof aata hai
per jis din se ye jana hai
ye mousam tum kobhataa hai
barish me bheegataa rehtaa hoon
boondon se tumharaa poochtaa hoon
me aisi muhabbat kerta hoon
tum kesi muhabbat kerte hooo

Barish ka mausam

Barishon k mausam main
tumko yaad krne ki
aadtain purani hain,
ab ki baar socha hai..
aadtain badal dalain...
phirkhyal aaya hai
aadtain badalnay say,
barishen nahi ruka karteen...!

Pagali Si Larki

Tumhin kis nay kaha pagli
mujhay tum yaad aati ho
bohat khush faham ho tum bhi
tumharai khush gumani hai
meeri ankhonki surkhi main
tumhari yaad ka matlab???
meeray shab bhar kay jagnay main
tumharay khwaab ka matlab???
yah ankhain to hameesha say hi
meri surkh rehti hain
tumhin malom hi hoga
is shayhar ki faza kitni aloda hai
tu yah sozish,ussi fizza kay bais hai
tumhin kis nay kaha pagli
ka main shab bhar nahi sota
mujhay is nokri kay sab jhameelon say
kabhi fursat milay to tab hai na
meeri baaton main larzish hai???
main aksar kho sa jata hon??
tumhin kis nay kaha pagli
mohabbat kay ilawa aur bhi to dard hotay hain
fikar-e-muaash,sukh ki tlaash,
aisay aur bhi gham hain
aur tum
un sab ghamon kay baad aati ho
tumhin kis nay kaha pagali
mujhay tum yaad aati ho
yah dunya walay pagal hain
zara si baat ko yah to afsaana samjhtay hain
mujhay ab bhi yah pagal tera dewana samjhaty hain
tumhin kis nay kaha pagli???
magar shyed!!!
magar shyed main jhhota hon
main reeza reeza tota hon

Dair lagy ge

Batt nikli to door talak jaye ge
log bawajha udasi ka sabab pochingay

ya bhi pochingay k tum itna preshan knuho
ungliyna uthinge sokhy howye balon ki taruf
ik nazar dikhty hoye guzray hoye salon ki taruf

choryuon per bhi kaye tanz kye jaingay
kanpty hoye hathon per bhi fikray kassy jingay
log zalim hian her batt ka tana dingay
batoun batoun main mera zikar bhi lay aingay

un ki baton ki zara bhi asar mat lina warna
chahray ka tasur sa samjh jain gay
chahy kuch bhi ho sawalat mat karna un sa
mere bary main kuch mat pochna un sa
knu k batt nikli to doooooor talk jaye geeee.

Kis qadar mujh ko satate ho

kis qadar mujh ko satatey ho tum

bhool jane per bhi yaad aate ho tum

surd raaton ke sunnatonmein

mere dil ko bohat rulate ho tum

kabhi kabhi to mehsoos hota hay mujhe

mera naam bar bar dohraate ho tum

jab bhi khuda se maanga mein ne

mere dil ki dua ban jate ho tum

yaad meri tum ko zaror aati hogi

kion apne dil ko behlate ho tum

Anaa

Ham se juda hony ka tasawwer bhi na karna
ham aesy sitamgar hain ka manaya nahi karty

jis dar par bhigay hain bas aik baar gay hain
phir lot kat kabhi us dar par jaya nahi karty

apna to ye shewa hai faran ghor se sun lo
khud hi tarap lety hain tarpaya nahi karty

JAB HATH DUA KO UTHTAY HAIN

JAB HATH DUA KO UTHTAY HAIN
TU LAFZ KAHAN KHO JATAY HAIN
BAS DEHAN TUMHARA REHTA HAI
OR ANKH SE ANSOOBEHTAY HAIN
HER KHUWAB TUMHARA PURA HOO
US RUB KI MINNAT KARTAY HAIN

HUM AISI MOHABBAT KARTQAY HAIN
TUM KESE MOHABBAT KARTAY HOO

MUJHE DHANDAK RAAS NAHI ATI
MUJHE BARISH SE KHUUF ATA HAI
EK ROOZ MUJHE MALOOM HUA
E MOOSAM TUM KO BHATA HAI
AB JAB BHI SAWAN ATA HAI
BARISH MAIN BHEEGTAY REHTAY HAIN

HUM AISI MOHABBAT KARTQAY HAIN
TUM KESE MOHABBAT KARTAY HOO

KUCH KHAAS RAKHNA

Ho sake to mujhe kuch khaas rakhna!
dosti ka itna to ehsaas rakhna!
ap ki duaoon se mile gi khushiyaan mujhe
ye sochker har dua main mujhe yaad rakhna.............

APNOON SE SHIKAYAT KOUN KARE


jo dard mila apnoon se mila
gheroon se shikayat koun kare

jo zakham diye apnoon ne diye
kantoon se shikayat koun kare

in ankhoonne jo kuch dekha
ah dil ye bata kis mon se kahain

kuch apnoon ka naam ata hai
behter hai yehi khamosh rahain

jab ker na sake hum un se gila
logoon se shikayat koun kare

dil shisha samaj k tore diya
manzil per la k chore diya

hum ne in piyase honton ka
paymanon se nata jore diya

woh pyar nahi ek sapna tha
sapnoon se shikayat koun kare

YEHI TO PYAR HAI

main ne kaha wo ajnabi hai
dil ne kaha ye dil ki lagi hai
main ne kaha woh sapna hai
dil ne kahaphir b apna hai
main ne kaha woh do pal ki mulaqat hai
dil ne kaha woh sadiyon ka saath hai
main ne kaha woh mere haar hai

MERI ZINDAGI KHATAM

shaam hone se pehle lote ana
kisi k naam hone se pehle lot ana
hum tere intezar main hain
anjaan hone se pehlelote ana
subah shaam rehti hai teray dedaar ki umeed
din khatam hone se pehle lote ana
agar na lote pao to bus itna ker daina
meri zindagi khatam hone se pehle lote ana.............

Mere humsafar

Mere Ham-Safar
Mere Ham-Nashin
Maine Rab Se Manga To Kuch Nahi
Maine Jab Bhi Koi Dua maangi
Nahi Manga Kuch Bhi "TERE SIWA"

Ye TalabKiya K Mere Khuda
Sabhi Rahatain
Sabhi Chahatain
Wo Ata Karey Tujhe Manzilain

Ye Talab Kiya K Mere Khuda
Tujhe Bakht De
Tujhe Taaj De
Tujhe Takht De

Mere Ham-safar
Mere Chara-Ger
Ye Hai MOHABBAT Ka Katin Safar
Mere Saath Chalna Zara Soch Ker
Zara Dekh Tu Mera Hosla
Mere Paas Jo Bhi Wo Hai Tera
Nahi Or Kuch Bhi "TERE SIWA"

Meri Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Ilm Bhi Mera Naam Bhi
K Meri Subah K Meri Shaam Bhi
K Jo Mil Sakey Mere Daam Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Ata Karey

Mere Chara-Ger Tu Yaqeen Ker
Mujhe Mangna To Na Aa Saka
Maine Phir Bhi Mangi Yahi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jab Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi "TERE SIWA"

KHUDA SE MANGA

AMAL SE MANGA, WAFA SE MANGA
TUJE TERE RAZA SE MANGA
JO NA MIL SAKA TO DUA SE MANGA
KHUDA KI KASAM KHUDASE MANGA

Mohabat jaag uthti hai


wo Ankhen band karta hai tou cha jati hai tareeki
wo Ankhen khol kar dekhe tou kismat jaag uthti hai

mujhe ehsastak nahi hota ke wo bhi tha koi
magr jab bholna chahon tou mohabat jaag uthti hai

Best Moments

Some of the best moments in life:
Lying in bed listening to rain outside..........
Thinking about the person u love.............
A long drive
on a calm road.............
Finding money in your old jeans just when u need it..........
Giggling over silly jokes...........
holding handwith a friend.........
Getting a hug from someone who loves u..............
The moments your eyes fill with tears after a big laugh........
Wishing u these moments in your life always!!!!!

Masoom si muhabbat

masoom si muhabbat ka bas itna sa fasana hai..
kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai,,


kia shart-e-muhabbathai kia shart-e-zamana hai.

awaz bi zahmi hai aur geet b gana hai.


us par utarne ki umeed bahot kam hai,,

kashti bi purani hai tufaan bi aana hai..


samhje wo ya na samjhe is andaz-e-muhabbt
ek shakhs ko aankhon se ek shair sunana hai..


boli si aada koi phr ishq ki zid par hai ,,

phir aag ka darya hai phr doob k jana hai..

Sara shehr

Wo mere shehr mai aane ka soche to sahi,
mai sara shehr
us ke nam na kr doun to kahna,
wo jopyasa hai mudtoun se,
mje se kahe mai sari brsatien
us ke nam na krdoun to kehna,
wo jo trsta ha ek phool ke lie,
mj se kahe mai sara gulistan
us ke nam na krdoun to kehna,
wo tore to sahi apni khamoshi ka ye skut,
mai apni sari kahani
us ke nam na krdoun to kehna,
wo kbi kre to sahi mere pyar ka aitraf,
ma apni sari zindge
us ke nam na kr doun to kehna...

Manzillain

manzillain bhi us ki thi, rasta bhi us ka tha
aik main akele thi aur kafla bhi us ka tha

saathsaath chalne ki soch bhi us ki thi
aur rasta badalne ka faisla bhi us ka tha

aj main akele hon to dil ye sawal kerta hai
log to us ke thai kya khuda bhi us ka tha

Aankhon ki dehleez

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo

Log muth-thi bhar namakliye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo

Ajeeb mehmaan

hansi chupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
Ye ek jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya

Utha tu ja bhichuka tha ajeeb mehmaan tha
Sadain de ke mujhe neend se jaga bhi gaya

Ager tum milnay ajao


Tamana phir machal jai,
ager tum milnay ajao,

ye mosam b badal jai
ager tum milnay ajao,

nahi miltay ho tum mujh se tou,
sab
hamdard hain meray,

zamana mujh say jal jai,
ager tum milnay ajao,

Shararat na hoti

Shararat na hoti,
shikayat na hoti,

nazron main kisike,
nazakat na hoti,

no hoti beqarai na,
na hoty hum tanha,

ager jahan main,
kambaqat mohabbat na hoti,

na hote ye sapne,
ye khwabon ki duniya,

kisiko chahat ki tamanha na hoti,
na zulfon ki chaya na phoolon ki khushbo,
yaadon main unki ye raatein na kat ti,

jo no hoti mohabbat, ye aansu na hote,
dil bhi na khotaa, aaj tanha na rota,

deewano si apni ye haalat na hoti,
ager jahan main kambaqat mohabbat na hoti,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Koi Waqt Purana Yaad Aya

Koi Waqt Purana Yaad Aya !!
Phir Dour Sohana Yaad Aaya !!
Or Chupkay Se In dewaron Pe !!
Kuch Likh Kar JanaYaad Aaya !!
Tera Milna Neend Ki Chaaon Mein !!
Or Sir Rakh Dena Kandhay Per !!
Mera Ye Kehna Koi Dekh Na Le !!
Tera Wo Ghabrana Yaad Aaya !!
Aisa Bhi Tu Aksar Hota Tha !!
Mein Tuj Ko Chorne Jata Tha !!
Barish ki Bheegi Raaton Mein !!
Tera Hath hilana Yaad Aaya !!
Wo Waqt Gaya Betay Lamhe !!
Ab Her Janib Tanhai Hai !!
Bas Ek hi Manzar Ankhon Mein !!
Tera Chor Ke Jana Yaad aaya !!

.......................................

Piyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi aaya Bhi Nahi !!
Kaisa Badal Hai Jis Ka Koi Saaya Bhi Nahi !!
Be Rukhi Is Se Bari Or Bhala Kia Ho Gi !!
Ek Mudat Se Hum Ko Us Ne Sataya Bhi Nahi !!
Sun Liya Kaise KHUDA Jane Zamane Bhar Ne !!
Wo Fasana Jo Kabhi Hum ne Sunaya Bhi Nahi !!
Tum Tu Shayar Ho Qateel Or Wo Ik Aam sa Shakhs !!
Us Ne Chaha bhi Tujhe Or Jataya Bhi Nahi !!

.................................

Mohabbat Ki Kasam Wo Aisa Nahi Tha !!
Wo apna Tha Magar Lagta nahi Tha !!
Na Jane Q Na Aaya Mujh Se milne !!
Zamanay Se Tu Wo Darta Nahi Tha !!
Tabasum Ki Buri Aadat Thi Us Ko !!
Wo Mujh Ko Dekh Kar Tu Hansta Nahi Tha !!
Mere Dil Mein Hai Ab Bhi Us ki Ulfat !!
Wo Mera Tha Mere Jaisa Nahi Tha !!

Tum ho Sirf Tum

Saawan bhi mera tum ho,Meri piyas bhi tum ho
Sehra ke baadalon main chupi aas bhi tum ho

Tum yun to bohatdoor,bohat door ho mujh se
Ehsaas ye hota hai mere pass bhi tum ho

Har zakham ki aaghosh men hai dard tumhara
Har dard men taskeen ka ehsaas bhi tum ho

Kho jao to veeran c ho jati hain raahen
Mil jao to phir Khizar bhi,Ilyaas bhi tum ho

Likhun to utartay ho tumhi mere qalam se
Parhta hon to " Al-Hamd " se " Wan-nass " bhi tum ho

kese tum khoo gay

kese tum khoo gay
zindagi se dur ho gay

hum be-pyaar mashoor ho gay
din-ba-din kumzoor ho gay

akelaypaan se ladney ki chaa khogay
arzii di thi app ko humay appnanay ki

app tho bina sunay hi anjaan se ho gay.

ME NE TERE HSAS SE MOHABAT KI HAI

TERE AKHLAS SE DOSTI KI HAI,TERE AHSA SE MOHABAT KI HAI,
TO MERE PAS NAHI ME NE TERI YAD SE MOHABATKI HAI,

ME TMKO KS TARHA BHOOLO ME NE TERE OSAF SE MOHABAT KI HAI,
KBHI JO TU NE MJHE YAD KYA HOGA ME NE UN LAMHAT SE MOHABAT KI HAI,

JIN ME MEHAK HAI SRF TERI YAD KI ME NE UN JAZBAT SE MOHABAT KI HAI,
TJ SE MILNA JO AK HWAB SA LAGTA HAI ME NE US INTAZAR SE B MOHABAT KI HAI.

Dosti say zyada dushmani barha de us nay

bujhaya tha nagar jalta hua us ka ghum ki chingari say
aur sulagti yado ky zakhmo ko mery hawa de us nay

wo adab -e- dosti say bay nyaz lagta hy hamyn
mur mur ky dkhty rahy hm lot anay ki na sada de us nay

kye kitnay hi karam us pr na bholay hain hum
magr har mahrbani mary bhula de us nay

gulshan may baharo ka mosam aya to sadaf
kahani khizan ki suna di us nay

Followers