Friday, April 17, 2009

Ajj tak yaad hay wo shaam e judai mujh ko

awwaleen chaand ne kiya baat samjhai mujh ko

yaad aai teri anggasht hinaii mujh ko


dekhte dekhte taaron kasafar khatam hoa

soo gaya chaand mager neend na aai mujh ko


inhin ankhon ne dikhaye, kai bhurpoor jamaal

inhin ankhon ne shub e hijir dikhai mujh ko


saye ki terha mere sath rahe runj o aalam

gurdishe e waqt kahin raas na aai mujh ko


dhoop idhar dhulti thi, dil doobta jata tha udhar

ajj tak yaad hay wo shaam e judai mujh ko.

No comments:

Followers