Friday, April 17, 2009

Shararat na hoti

Shararat na hoti,
shikayat na hoti,

nazron main kisike,
nazakat na hoti,

no hoti beqarai na,
na hoty hum tanha,

ager jahan main,
kambaqat mohabbat na hoti,

na hote ye sapne,
ye khwabon ki duniya,

kisiko chahat ki tamanha na hoti,
na zulfon ki chaya na phoolon ki khushbo,
yaadon main unki ye raatein na kat ti,

jo no hoti mohabbat, ye aansu na hote,
dil bhi na khotaa, aaj tanha na rota,

deewano si apni ye haalat na hoti,
ager jahan main kambaqat mohabbat na hoti,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

No comments:

Followers