Tuesday, March 24, 2009

Acha huwa na ke

Acha huwa na ke tum meeri is
haseen kalai ke kangan na the


yuu hi sare bazar chalte chalte
tum bha jatte, lagte apne apne

chukka ke man pasand mai daam
bana leeti tujhe umar bhar ka ghulam

saheliyoon ki mehfil mai le jati tum ko
addayeein badal badal kar dikhati tumko

jabb to mere ishare per nach uthta
haye husan meera keese jagmaga uthta

meeri nabas se jabb jabb to takraya karta
sara halle dill tujh per khull jaya karta

kitna piyara teera meera ye rishta hoota
aggar to is haseen kalai ka kangan hoota

phir yu hi achanak kissi bhiyanak dinn
tu gum jata meri kalai se, kahe kuch bin

mai tarap, tarap jatti teeri judai se
phir mangti phirti tujhe is khudai se

phir teeri yadoo mai ho kar gum sum
mai tanhai ke lamhoon mai soocha karti

kitna acha hoota na ke tum meeri is
haseen kalai ke kangan na hi hoote

MohabbaT Us NY Kisi Sy Shayad Meri TaraH Ki Hui HAi

Dreechay Sy Jhankti Woh Larki,
Ajab Dukh sy Bhari Hui Hai,

K Us K Angan Main Phool Par Ik,
Tittli Mari Hui Hai,

Kabhi Azano Main Khoi Khoi,
Kabhi Namazon Main Roi Roi,

Woh Aese Dunya Ko Dekhti Hai,
Jese Is Sy Dari Hui Hai,

Drood Sy Mehki Sansain,
Wazeefa Parthi Hui Wo Ankhen,

K Sham-E-Umeed In Main Kai Bars Sy Dhari Hui Hai,

Woh Dukh Ki Chadar Main Lipti Lipti,
Woh Kale Kapron Main Simti Simti,

Mohabbat Us Ny Kisi Sy Shayad Meri Tarah Ki Hui Hai

TUJHAY ISHQ HO KHUDA KARAY

Tujhay ishq ho khuda karay
koi tujh ko uss se juda karay


teray hont hansna bhool jaye
teri aankh pur nam raha karay

ussay daikh kar tu ruk paray
woh nazar jhuka ke chala karay

tu nagar nagar sada karay
tu gali gali phira karay

teray khuwaab bikhrein toot kar
tu kirchi kirchi chuna karay

tujhay ishq ho phir yaqeen ho
ussay tasbeehon pe parha karay

phir main kahoun ke ishq dhoung hai
aur tu nahi nahi kiya karay

Bikhar rahe hai meri Zaatus say kehna


Bikhar rhe hai mere zaat usay kehna
Kahein melay tu ye baat usay kehna


Usay kehna k bin us k din nahi kat taa
Sisak sisak k kat tee hai raat usay kehna

Wo sath tha tu zamana tha hamsafar mera
Magar ab koi nahi mere sath usay kehna

Wo jis ko sun k palat aiye mere duniya me
Hawaoo aesi koi baat usay kehna

usay pukaro ya khud phunch jao uskay pas
nahi rhay ab wo halat usay kehna.

Agr wo phir b na lotay tu ay mehraban-e-qasid
Hamari zeest k hallat usay kehna

main apni har jeet uskay naam kar rha ho.
mai manta ho apni haar usay kehna...!!!

SAAF KEH DO NA

Nahi acha koi ishara saaf keh do na
Kahan tak saath do gay tum hamara saaf keh do na

Judai ki tarah darya bhi apne saath chalta hai
Nahi milta kinaray se kinara saaf keh do na

Bahanay apni majboori ke kiyon aa kar sunate ho
Qasoor iss mein nahi koi tumhara saaf keh do na

Humein tanhai ke taanay tum mat do ghair ke aagay
ke hum bhi dhoon le koi sahara saaf keh do na

Hamary hath ki aksar lakeerein milti julti hain
magar milta nahi apna sitara saaf keh do na

Kar nahi sakty

Ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty
eik lamha tery bina basar kar nahi sakty


woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai
yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty


khud hath say apny usay khona hi pary ga
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty


yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say
k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty


tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy
ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty


yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra
is noor k darya par nazar kar nahi sakty


har chand k meri aankh main aansoo hain larazty
jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty

ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say
ham is liye khuda say khafa ho nahi sakty

Ho jayein

Is se pehle ke bewafa ho jayein...
kion na ae dost hum juda ho jayein...

tu bhi heerey se ban gaya pathar...
hum bhi jaane kiya hojayein...

tu ke yakta beshukar hoa...
hum bhi tootein to jabaja hojayein...

hum bhi majbooriyon ka gadar karein...
phir kahin aur mubtala hojayein...

hum agar manzilein na ban payein...
manzilon tak ka raasta hojayein...

dair se soch mein hain parwane...
raakh hojayein ya hawa hojayein...

ab ke gar tu mile to hum tujh se...
aisay liptein ke quba hojayein...

bandagi hum ne chhor di ...................
kiya karein jab log khuda hojayein...

BANDAGI

Dil-e-Natawan ko samjhaoon kaise
Tujhay dil se bhulaoon kaise

K tujhay yaad karna hi tou zindagi hai
tere khwaab dekhna hi tou bandagi hai

Yeh Kaisa Dard Hai

Yeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamain Tarpaye Rakhta Hai

ZaraNa tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte

Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte

Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte

Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte

Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo
Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte

Mujh se poochte kia ho Khushi ka pata

Mujh se poochte kiya ho Khushi ka pata
Ajnabi bataye kiya , Ajnabi ka pata

Jaam-o-Saghar yaheen utha ke le aaya
Bekhudi mein kaheen bhool na jaon is gali ka pata

Le aaya haat thaam kar Sher-e-khamoshan mein mujhe
Ek Darwesh se pooch behta tha mein Zindagi ka pata

Sagar apna tareek ghar ab usse dikha hi do
Jo sub se pooch raha , Roshni ka pata

Mujhy or kahin ley chalo

MUJHY OR KAHIN LEY CHALO
jahan raat kabhi soi na ho,


jahan subah kisi pe roi na ho,
jahan hijr ne wehshat boi na ho,

jahan koi cheez kisi ki khoi na ho,
MUJHU OR KAHIN LEY CHALO,

jahan log hon saary begaany,
jahan sab ke sab ho deewany,

jahan koi hum ko na pehchaany,
MUJHY OR KAHIN LEY CHALO,

jahan nafrat dil main na bas saky,
jahan koi kisi ko dass na saky,

jahan koi kisi pe hans na saky,
MUJHY OR KAHIN LEY CHALO.

Friends ARE forever

Friends online are people we may never see....

We see pics, we see cams...

It isnt the same....

We grow close...

We care and love one another....

One day we may not hear from one another....

Our hearts will break...

All we see is a name on messenger but the person we dont see anymore.....

We pray.....

Please come back....

All I ask is you remember me in the good times we had.....

Keep me close to your heart....

**********Friends ARE forever**********

I miss u

I miss u
when i am bore
I miss u
when i am alone
I miss u
when i am worried
I miss u
when i am happy
I miss u
when i am confused
I miss u
when i am upset
I miss u
when i think about u
I miss u
when i am tension
I miss u
365 days
I miss u
52 weeks
I miss u
12 mths
I miss u
8760 days
I miss u
8760 hrs
I miss u
525600 mins
I miss u
31536000 sec
I miss u
when i breath..!!
so do not ever forget me!!

FRIENdSHIP

F is for fantastic, the way you'll always feel
R is for reliable, now that's a great deal
I is for independence, cause we're all so unique
E is for equal, in all we do and speak
N is for necessary, cause life without friends
Does not supply the soul with a purpose to our end
S is for support, friends always do you know
H is for happiness when the friendships grow
I is for ideas, we share them with each other
P is for the privilege of knowing one another

Ab jo ik hasrat-e-javaanii hai

ab jo ik hasrat-e-javaanii hai
umr-e-raftaa kii ye nishaanii hai

(This yearning for youth that I now have
is but a relic/sign of my past life/bygone time)

Khaak thii maujazan jahaa.N me.n, aur
ham ko dhokaa ye thaa ke paanii hai

(The world raised waves of dust/ashes
and I took it to be a ocean)

giriyaa har vaqt kaa nahii.n behech
dil me.n ko_ii Gam-e-nihaanii hai

(My weeping is not without reason
there must be some grief hidden in my heart)

ham qafas zaad qaidii hai.n varanaa
taa chaman parafashaanii hai

(We are prisoners who are fond of our cages
For the garden is but a wing's beat away)

yaa.N huye 'Meer' ham baraabar-e-Khaak
vaa.N vahii naaz-o-sargiraanii hai

(Here, Meer, we lower ourselves to the very dust
There, pride still reigns supreme)

Friendship is precious

♣ not only in the shade,
♣ but in the sunshine of life;
♣ and thanks to a benevolent
♣ arrangement of things,
♣ the greater part of life is sunshine.
♣ Of all the blossoms in life's garden,
♣ friendship is the most fragrant
♣ A friend is a gift where
♣ worth cannot be measured
♣ except by the heart
♣ Be full of sympathy toward each other,
♣ loving one another with tender hearts
♣ and humble minds
♣ Friendship is sharing openly,
♣ laughing often,
♣ trusting always,
♣ caring deeply
♣ We can pour our heart out to a friend
♣ knowing that gentle hands will take and sift it,
♣ keep what is worth keeping,
♣ and with a breath of kindness,
♣ blow the rest away
♣ Thank YOU for accepting me as a 4riend••••••♣

Monday, March 23, 2009

Mujhe tum se mohabbat hai

Mujhe tum se mohabbat hai.
Aur esi mohabbat hai,
K jo sehra ko barish se,
K jo dharkan ko khuwahish se,
K jo ankhon ko khuwabo se,
Shararat ko hijabo se,
K jo shabnam ko phoolo se,
K jo miti ko boondon se,
Jo honton ko hassi se hai.
Qiza ko zindagi se hai.
Kuch esi hi mujhe tum se hai.
Aur esi mohabbat hai,
Jo aahon ko hassi se hai,
Jo palko ko namii se hai,
Jo jeewan ko kamii se hai,
Jo mujh ko bas tumhe se hai,
Tamana ko umeedo se,
Jo sapno ko hai neendo se,
Jo rab ko hai banday se,
Iss se bhi kahin zyada, mere humdum, mere sajna,
Mujhe tum se mohabbat hai.
Mujhe tum se mohabbat hai.

Followers