Thursday, January 22, 2009

ABC For A FRIEND

Means of ABC For A FRIEND
A Friend....
(A)ccepts you as you are
(B)elieves in "you"
(C)alls you just to say "HI"
(D)oesn't give up on you
(E)nvisions the whole of you (even the unfinished parts)
(F)orgives your mistakes
(G)ives unconditionally
(H)elps you
(I)nvites you over
(J)ust "be" with you
(K)eeps you close at heart
(L)oves you for who you are
(M)akes a difference in your life
(N)ever Judges
(O)ffer support
(P)icks you up
(Q)uiets your fears
(R)aises your spirits
(S)ays nice things about you
(T)ells you the truth when you need to hear it
(U)nderstands you
(V)alues you
(W)alks beside you
(X)plains thing you don't understand
(Y)ells when you won't listen and
(Z)aps you back to reality

Kahein Se Ajao

Kahein Se Ajao..!!!

Ajab sham khari hai Kahein Se Ajao,
Bari udaas ghari hai Kahein Se Ajao,

Kisi se milna aur Mill k bichar jana,
Saza ye kitni bari he Kahein Se Ajao,

Bara kathin hai ye Hijr ka mosam Judai
bool pari hey Kahein Se Ajao,

Zamana jise samajhta hey Motiyo ki chamak,
Wo ansoun ki lari hey Kahein Se Ajao,

Woh kaisa shaks hai k roz saza daita hai



Woh kaisa shaks hai k roz saza daita hai
Phir hasata hai itna k bhula daita hai...

Kabhi jo ro day tu mujh ko bhi bhula daita hai
Aur phir bhool k mujh ko bhi rula daita hai ...

Kabhi jo ro day tu mujh ko bhi bhula daita hai
Aur phir bhool k mujh ko bhi rula daita hai ...

Is sai pochoon k bata kis say mohabbat hai tujhay??
Naam sargoshi mai mera hi suna daita hai ...

Hamaray pass na aanay ki qasam khaa ker woh
"AAJA" likhta hai kaghaz pay uraa daita hai ...

Kabhi kahta hai chaloo sathh hamesha meray
Mai chal paroon tu rasta hi phira daita hai...

Khud hi kahta hai na dauhraoo poorani yadain
Mai na dauhraoon tu phir khud hi suna daita hai...

Khud hi kahta hai jazbaat mai halchal na karoo
Aur phir khud hi naee aag laga daita hai ...

Ae zindagi aj phr tujh se daga kar bethay



Ae Zindagi aj tujh se phir daga kar bethay..
us faraib ko jaan kar bhi apna bana bethay..

Samny betha tha meray,kitna pur sukoon tha..
Is Zindagi ko usay hasil karney ka kitna junoon tha..

Woh mera hai sirf mera hai,yeh ek gumaan tha..
khamosh thay lub meray,us per kitna maan tha..

Bus kuch hi pul main woh sab bharam tor gya..
Is zindagi ko aj phir usi dagar chor gya..

kuch pal yad agye us k sath bittaye..
Nadamat hoe khud pe k kabhi woh mera tha....

Yeh zindagi bari ajeeb si

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si

Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay

Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi

Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si

Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai

Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si

Flowers need sunshine

+++++++++(¨`·.·´¨) (¨`·.·´¨)++++++++++
++++++++++`·.¸(¨`·.·´¨)..·´+++++++++++
+++++++++++++`·.¸.·´++++++++++++
Flowers need sunshine, violets need dew, all angels in heaven know I need u. years may fly, tears may dry, but my friendship with u will never die
+++++++++(¨`·.·´¨) (¨`·.·´¨)++++++++++
++++++++++`·.¸(¨`·.·´¨)..·´+++++++++++
+++++++++++++`·.¸.·´++++++++++++
+++++++++(¨`·.·´¨) (¨`·.·´¨)++++++++++
++++++++++`·.¸(¨`·.·´¨)..·´+++++++++++
+++++++++++++`·.¸.·´++++++++++++
A friend is sweet when its new….but it is sweeter when its TRUE! But u know what?Its sweetest when its u. +++++++++(¨`·.·´¨) (¨`·.·´¨)++++++++++
++++++++++`·.¸(¨`·.·´¨)..·´+++++++++++
+++++++++++++`·.¸.·´++++++++++++
A friend gives hope when life is low, a friend is a place when you have nowhere to go, a friend is honest, a friend is true. A friend is precious a friend is u.
+++++++++(¨`·.·´¨) (¨`·.·´¨)++++++++++
++++++++++`·.¸(¨`·.·´¨)..·´+++++++++++
+++++++++++++`·.¸.·´++++++++++++

Friends are my life

Friends are my life
they make me laugh and smile
ஜ______ஜ♥ஜ______ஜ
friends are my life
they“re always there for a talk
ஜ______ஜ♥ஜ______ஜ
Friends are my life
they“re always there for a sook
ஜ______ஜ♥ஜ______ஜ
And thats all i want to say
Friends are my life
ஜ______ஜ♥ஜ______ஜ
Friend is one, who (F)inds you in a (R)ush of people,
(I)nspires you to do something in life, catch your
(E)motions and (N)ever leaves you till (D)eath.
ஜ______ஜ♥ஜ______ஜ
Friendship never speaks volumes, it never demands proof,
it never has a happy ending too simply coz it doesn“t end
as long as friends r true, just like U!
ஜ______ஜ♥ஜ______ஜ
But, friendship can“t be defined without YOU......

mErI DuA

mErI DuA HaI k Khush rAhO tUm
“ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº“

MilE nA KoI GhUm jAhAn BhI rAhO tUm
“ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº““ºôº“

sAmAndAr kI tArAh Dil HaI GehrA tErA
“ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº““ºôº“

KhUshIoun sA BhArA rAhE dAmAn tErA
“ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº““ºôº“

tUm jO kAhO wOh hAr KhAwAhIsh PoOrI hO tUmhArI
“ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº““ºôº“ “ºôº“ºôº“

KhUdA sE bUs yAhI DuA HaI hAmArI
“ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº“

tOhfA KyA DoOn tUmhaIn DuaOun K sIwA
“ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº““ºôº“ “ºôº

K KhUdA rAhE tUm sE rAAzI sAdAA
“ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº“ “ºôº““ºôº“ “ºô

Bhari Mehfil Main Tanha Rehna

Bhari Mehfil Main Tanha Rehna Acha Lagta Hai
Tere Bare Main Sochtey Rehna Acha Lagta Hai

Kabhi Pholoon Main, Kabhi Kaliyon Main
Tujh Ko Hi Dhontey Rehna Acha Lagta Hai

Meri Zindagi Ki Khushiyan Tumhee Sey Hain Wabasta
Rab Sey Sirf Tumhein Hi Maangna Acha Lagta Hai

Hamare Darmiyan Haail Rahein Sadiyon Ki Khamoshiyan
Kuch Is Tarhan Guftugu Karna Acha Lagta Hai

Tumhre Baghir Zindagi Ka Koi Tasaver Nahi Hai
Kuch Is Tarhan Tumhari Tamanna Karna Acha Lagta Hai

Tum Hi Ko Chaha,Tum Hi Ko Chahtey Hain
Tumhi Ko Chahtey Rehna Acha Lagta Hai

Meaning of F.R.I.E.N.D.S.H.I.P

”F" is for Fun....That friends share when they are together.

"R" is for Reliability....A true friend is someone that you can always rely on.

"I" is for Interest....Someone who is genuinely interested in you, your fears, joys, and life.

"E" is for Energy....They pick you up when you are down, and give you the energy to go on and believe in yourself.

"N" is for Nothing....Nothing is ever too much, no matter what time it is, night or day.

"D" is for Distance....Although the miles may separate you, a true friend is never far away.

"S" is for Secrets....Your feelings and personal/private thoughts that you can only share with a friend.

"H" is for Happiness....The way I feel when we are together.

"I" is for Inseparable....Through good times and bad, tears and laughter. A friend will always be there for you.

"P" is for Perfect...

I am the voice despaired

I am the voice despaired that squeak in the desert...

And you friend, you found me

In your mind I find space

In your heart I do dwelling

I share with you my anseiosTe I am going to know the my dreams

By you, I transform me in an army

Alone for you defend.

If calls me

It be prepared serve you

There is not walls neither barriers

For separate our friendship

If you are yourself sad, crying with you

If you are yourself happy, I cheer me with you

If you go for the war, I will be the line of front

If equal of it be at war, I will be the white flag

I am confession, I am ears

I am the one that extends you myself hand

I am the one that shares

The moment and the decision

But itself went nothing of that

It would be barely a simple friend

Aware to any reaction

I am his friend, of heart.

you've been always glad to be

I'd like to be the sort of friend that
you have been to me;
I'd like to be the help that
you've been always glad to be;

I'd like to mean as much to you
each minute of the day
As you have meant, old friend of mine,
to me along the way.

I'd like to do the big things and
the splendid things for you,
To brush the gray from out your skies
and leave them only blue;

I'd like to say the kindly things that
I so oft have heard,
And feel that I could rouse your soul
the way that mine you've stirred.

I'd like to give you back the joy
that you have given me,
Yet that were wishing you a need
I hope will never be;

I'd like to make you feel as rich as I,
who travel on
Undaunted in the darkest hours with you to
lean upon.

I'm wishing at this time that I
could but repay
A portion of the gladness that
you've strewn along my way;

And could I have one wish this year,
this only would it be:
I'd like to be the sort of friend
that you have been to me.

feeling

feeling “““““(♥)(♥)““““““(♥)(♥)“““(♥)(♥)
(♥)(♥)“““(♥)(♥)“““““(♥)(♥)

Just like a rose,
so precious and rare,
is the forever friendship
the two of us share.

(♥)(♥)““““““(♥)(♥)“““(♥)(♥)““““(♥)(♥)“““
““(♥)(♥)



Planted with kindness,
it's warmed by the sun
of caring and sharing,
laughter and fun.

(♥)(♥)
““““““““(♥)(♥)“““(♥)(♥)
(♥)(♥)“““““““(♥)(♥)
“““““(♥)(♥)““““““(♥)(♥)“““(♥)(♥)
(♥)(♥)“““(♥)(♥)“““““(♥)(♥)

It's grounded in trust
and nurtured by love,
with a sprinkling of grace
from God up above.

(♥)(♥)“““(♥)(♥)“““““(♥)(♥)

Tears of sadness and joy,
like dew,
renew this friendship
I share with you.

(♥)(♥)“““(♥)(♥)“““““(♥)(♥)
A blessing
of beauty unsurpassed,
our friendship's a flower
that will always last.!
(♥)(♥)
““““““““(♥)(♥)“““(♥)(♥)
(♥)(♥)“““““““(♥)(♥)

“““““(♥)(♥)““““““(♥)(♥)
(♥)(♥)“““(♥)(♥)“““““(♥)(♥)

Just like a rose,
so precious and rare,
is the forever friendship
the two of us share.lucky

Monday, January 19, 2009

Dastaan-E-Gham

Wafa Ki Dastaan-E-Gham Chalo Tum KO Sunatey Hen
Jo Dil Per Daagh Hen Apney Chalo Tum Ko Dikhatey Hen,

Sunoo Neendein Nahi Aatin K Dil BeTaab Rehta He
Kabhi Titlii K Kachey Rang Kabhi Jugnoo Satatey Hen,

Kabhi Jab Shaam Hoti He, Andheron Se Khafa Ho Kay
Teri Yadoon K Mandir Mein Charaagh-E-Shab Jalaatey hen.

Chalay Wo Kadam

Chalay Wo Kadam Kadam Jo Saath Mere
To Us Kay Saath Say Pyaar Ho Jaye

Thamay Jo Pyaar Say Haath Mera
Tu Apnay Hi Haath Say Pyaar Ho Jaye

Jis Raat Aye Khuwabon May Wo
Us Suhaani Raat Say Pyaar Ho Jaye

Jis Baat Main Aye Zikar Us Ka
Tu Ussi Baat say Pyaar Ho Jaye

Jab Pukaray Pyaar Say Naam Mera
Tu Apnay Hi Naam Say Pyaar Ho Jaye

Hota Hai Itna Khubsurat Ye Pyaar Ager
Tu Kaash !!
Usay Bi "_____" k Pyaar Say Pyaar Ho Jaye

Tham Kar Kalam

Tham Kar Kalam Aj Ta Diar Hum
Sochty Rehy..
Kia Likhain
Kayee Bar Tara Naam Likha
Aur Mita Dala
Phir Ek Nazam Likhee
Jiss Main Tara Milna ..
Taray Sang wo bity Pal Likhy
Akhar Main Tara Bichernay Wala Pal Likha
Aur Phir Ess Nazam Ko
Ek Naam Dia..
Mohabbat Kuch Nahin Dati
Ansoo Kay Siwa

Han ....
Mohbaat Kuch Nahin Dati
Ansoo Kay Siwa

Kitna Pyaar diya

"Kitna Pyaar diya usse per mila kuch bhi nahi
Itni gehri Chahat ka hasil - o - hasool kuch bhi nahi

Woh hum se khafa the to Jaan nikal gayi thi hamari
Hum un se khafa hain to un ko malaal kuch bhi nahi

Is qadar dukh diye hain na jaane kis khata per
Per hum bhi Sabar kargaye aur kiya sawal kuch bhi nahi

Us ki khushi main Hansne wale Khaas hain us ke liye
Dukh main us ke saath hum, hamari misaal kuch bhi nah

wellwisher

yaaro kahan tak

yaaro kahan tak or mohabet nibhaon main
do mujhko bad dua ke usse bhol jaon main

dil tou jala gaya hei wo shola sa aadmi
ab kisko choo ke bhi hath bhi apna jalaon main

sunta hon ab kisi se wafa ker raha hei wo
aye zindagi khushi se kahin mar na jaon main

us jaisa naam rakh ke ager aye moat bhi
hans ker usse qateel galay se lagaon main

yaraon kahan tak or mohabet nibhaon main
do mujhko bad dua ke usse bhol jaon main

Woh Muhabbat ki

Woh Muhabbat ki kuch Aesi Misal Rakhta Hai,

Woh Muhabbat ki kuch Aesi
Misal Rakhta Hai,


Ke Mujh Se Ziada Hi Mera
Khayal Rakhta Hai,

Bina Kahe Hi Mera
Dard Jaan Leta Hai,

Wo Mujh Se Ly Kr Meri
Yaadien Sambhal Rakhta Hai,

Wo Hans Ke Taal Jata Hai Meri
Sab Talkh Baaton Ko,

Wo Dil Ko Jeet Leney Ka
Khoob Kamal Rakhta Hai

Bikhar Rahi Hey Meri Zaat Usy Kehna

Bikhar Rahi Hey Meri Zaat Usy Kehna,
Kabhi Milay Tau Yehi Baat Usy Kehna,



Wo Sath Tha Tau Zamana Tha Humsafr Mera,
Magr Ab Koi Nahi Merey Sath Usy Kehna,

Usy Kehna K Bin Usky Din Nahi Katta,
Sisik Sisik K Katti Hey Raat Usy Kehna,

Usy Pukaron K Khud Hi Pohanch Jaon Usky Pass,
Nahi Rahey Wo Halaat Usy Kehna,

Ager Wo Phir Bhi Na Lotey Tau Aey Mehrban Qasid,
Hamari Zeest K Halaat Usy Kehna,

Her Jeet Us k Naam Kr Raha Houn Mein,
Mein Mannta Houn Apni Haaaar Usy Kehna,

Kal chowdwein ki ra

Kal chowdwein ki rat thi shab bhar raha charcha tera
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera

hum bhi waheen mojood the hum se bhi sub poocha kiye
hum hans diye hum chup rahe manzoor tha parda tera

is sheher me kis se milen hum se chooti mehfilen
her shaks tera nam le her shaks dewana tera

koche ko tere chor ker jogi hi ban jaien magar
jungle tere parat tere basti teri sehra tera

do ashq jane kis liye palkon per aker atak gaie
altaf ki barish teri ikram ka darya tera

be dard sansani ho to chal kehta hai kia achi ghazal
ashiq tera ruswa tera shair tera insha tera


ek ashiq ki kahani

Meri yaad mein

Meri yaad mein tum naa aansu bahana
naa dil ko jalanaa hamein bhool jana,


samajhana k tha aik sapna suhana
wo guzra zamana hamein bhool jana,

juda meri manzil juda teri raahein
milein gi na ab teri meri nigahein

mere naam apne labon pe naa lana
naa dil ko jalanaa hamein bhool jana,

yeh ro ro k kehta hai toota hua dil
nahi hoon mein teri mohabat k kabil

mujhe teri duniya se hai door jana
naa dil ko jalanaa hamein bhool jana

YE HAIN COLLEGE KE AAKHRI DIN

Kuch pal aur,

kuch lamhe aur,

wo college ki masti

wo 31 march wali daru sasti.

wo ghumna phirna doston ke saath

wo ladkiyon ka peecha karna masti ke saath.

wo ladai jhagde,wo meethe sapne,

wo naukri ki tension,wo dad ki pension.

wo college late aana,

ghar aa k so jaana.

wo kitabon ka khyal

jinse na hua hume kabhi pyar.

wo Royal Stag more

jinse na hue hum kabhi bore.

YE HAIN COLLEGE KE AAKHRI DIN

JINHE YAAD KAREGA HAR KOI HAR DIN

Aay dost teri dosti

Aay dost teri dosti ka kia karain gay ab
dunia may ab kis kay sharay jiyay gain

hum najany kasi khalish thee jo ker gai
uda shikwa bhi ab hum kis bat ka karain

DIL KAY DARWAZAY PAY

HAASIL KARLI HUMNE SAARI "EDUCATION"
PHIR BHI NA SAMAJH SAKAY LOVE KI "DEFINATION"


DIL KAY DARWAZAY PAY LIKHA HAY NO "ADMISSION"
PHIR BHI LOG CHALAY AATAY HAIN WITH OUT "PERMISSION"

Uski Aakhon me

Uski Aakhon me Mohabbat ka Sitara Hoga
Ek Din Aaye ga wo Shaks Humara Hoga….!
Zindagi Ab k Mera Naam na Shamil Karna.
Gr Ye tay hai k yahi Khel Dobara Hoga…..!
Jis k Honay se Meri Saans Chala Karti thi
Kis Tarha us k Bageir Apna Guzara hoga.
Ye Achanak jo Ujala sa hua Jata hai………
Dil ne Chupke se tera Naam Pukara hoga.
Ishq karna hai to Din raat usay Sochna he.
Kuch Aur Zehan me Aaya to Khasara hoga.
Ye jo Pani me chala aaya he Soneri Sa Ghuroor
Usne Darya me kahin Paoon Utara hoga….!
Jo Meri Rooh me Badal se Gharajte hai WASI.
Usne Seenay me koi DARD utara hoga…..!
Kaam Mushkil hai maghar JEET hi Loonga Usko!!!
Meray MOULA Ka WASI Joonhi Ishara hoga…! “

VARIOUS TYPE OF AASHIQ

AMEER AASHIQ :
Main Bhee Kharidar Hoon Main Bhi Khareedon Gaa
Piyar Kahan Bikta Hai Pata Bata Doo ......

GHAREEB AASHIQ :
Sona Na Chandi Na Koi Mehal Jane-Mann
Tughko Me Day Sakoon Gaa .......

JHOOTA AASHIQ :
Kal Shab Dekha Main Ne Chand Jharokay Mein
Uss Ko Kia Salaam Tumharay Dhokay Mein ........

SACHAA AASHIQ:
Dil Hogaya Hai Tera Dewana Aab Koi Jachta Nahin
Naadan Hai Samaghta Nahin Binteray Rehta Nahin .......

KAMYAB AASHIQ:
O Kendi Hai Sayaan Main Teri Yaan .......

NAKAAM AASHIQ:
Inn Say Nain Mila Kay Dekho Ya Dhoka Bhee Kha Kay Dekho

CHALAAK AASHIQ :
Buss Bhai Buss Ziyada Baat Nahin Memsaab
Aaj Kay Baad Mulaqat Nahin Memsaab .....

MAJBOOR AASHIQ :
Izhar Bhee Mushkil Hai Kuch Kah Bhee Nahin Saktay
Majboor Hai Uff Allah Chup Rah Bhee Nahi Saktay ...

BUZDIL AASHIQ :
Me Tera Shehar Chour Jaoun Gaa ......

DHEETE AASHIQ :
Chahay Jiss Shehar Bhee Jaen Chahay Jiss Mulk Bhee Jaen
May Hi Mahiwal Hoon Tera So...

Intazar Rehta hai

Intazar Rehta hai har Shaam Tera,
Ratein karti hain le kar Naam Tera,


Muddat se Bethey hain ye Ass le kar,
ke kab aye ga koi Peigham Tera,

Alvida keh ke jab koi ankhon se door jata hai,
Ankhen dekhti rehti hain lekin dil majbor hota hai.

koi kahe na kahe zuban se magar,
Dil main dard zoror hota hai...

Dil ko dil se Milaya Apne
Door Hote Hoye bhi Apna Banaya Apne.

kabhi bhool nahi pain gey apko,
kayon ke Yaad Rakhna bhi Sikhaya Apne

wellwisher

Why do we close our Eyes

Why do we close our Eyes
When we Pray
When we Cry
When we Dream
When we Kiss
Bcoz the most beautiful things in Life are not Seen ......
But felt by the HEART!



wellwisher

HER DIL MAIN LAGA HAI


HER DIL MAIN LAGA HAI ZAKHAM MERHAM MANGEIN KISS SE
HER KISSI KO CHAHTE HAI KOE OUR HUM CHAHEIN KISSE






KIUN HAIN UDDAS HUM.HUMAY KIUN NAHI CHAIN UNKE SIWA
KOE NAHI MERA ISS JAHAN MAIN AB SIRF USKE SIWA

KERTAA HUN WAFA UNSE AJJ BHI MUJHE YAAD AATA HAI WOH
KHUDA KI KASAM HAI AJJ BHI BHUT RULATA HAI WOH

GHUME ISHQ MAIN HUM JO BHOODAY .TO NA NIKAL SAKAY KABHI
CHAHAT BHI AISEE HOTEE HAI ISS CHEEZ AB CHLA HUME PATA

Hume jiski talaash

Hume jiski talaash thi wo sahibaan hum ko mil gayi
jaan ke unko ye dil ki kleen bhi khil gayi

ab to rehta hai intazaar unka
unke saath hume aik zindagi bhi mil gayi

Sunday, January 18, 2009

Sarab Se Haqeqa



To jo bichra to mila dard qayamat jaisa

Tujh say kaisa yeh taluq hai muhabbat jaisa

Jis ko chaho usay ehsae-e-khudae day do

Silsila pyar ka rakho ibadat jaisa

Tarap yeh ishq

Tarap yeh ishq ki dil sa nahi jati
Ka jaan dey ka bhi dewaangi nahi jati
Najaana kon si hi duniya mera rabba
Jaha sa lout ka koi sada nahi atti

Hum hi Thehry Saza War

Hum hi Thehry Saza War Or Khata Kuch Bhi Nahi !!
Tu Kya Samajhta Hai Tere Bad Hua Kuch bhi Nahi !!

Yaad Jab Aai Teri Yaad Raha Kuch Bhi Nahi !!
Dil ne Bas Aah Bhari Or Kaha Kuch Bhi nahi !!

Waqt Ki tarha Ye Sansain Bhi Rawan Hai Ab Tak !!
Ik Bas Ashk Thama Or Ruka Kuch Bhi nahi !!

Hath Se Hath Chura Kar Gaya Jab se Tu !!
Mein Ne us Waqt se in Hathon Se Chuaa Kuch Bhi Nahi !!

Kash Wo Mujh Se Keh De achanak Aa Kar !!
Ke Tere Bad Mere Jewan Mein Bacha Kuch Bhi Nahi !!

Aana Re Phir

Aana Re Phir Jana Re
Yeh Aana Jana Kia hai
Arey bhai tum nahin samjhoo ghe
Kabhi Lite aati hai kabhi jaati hai

Toot Ker zara dekho

Toot Ker zara dekho
Tum agar bikhar jao

Bebasi main ghir jao
Dil se ik sada dena

Bas mujhe bula lena
Main Tumhein sambhaloon ga

Zindagi main chalne ka
Raasta badalne ka

Ik Hunar sikha doon ga
Tum ko hosla doon ga

Or jab sambhal jao
Roshni main dhal jao

Mujh ko yoon sila dena
TUM MUJHE BHULA DENA


wellwisher

DOSTI kitni anmol

Ap se mil ker hum ne ye jana,
DOSTI kitni anmol hoty hai,


Ap jine ki waja ban gay,
Lagta hai ab her dua porry hoty hai.

Love is life

Love is life.
But without wife.
Life is knife
With wife
SO KEEP QUIET

Sheeshay se bani ek larki

Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se takraayi
Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi

Sheeshay se bani yeh larki
Is baat se hai anjaani
Jab rait chamakti hai to
Lagti hai door se paani
Yeh phool hain sab kaaghaz ke
Lekin woh samajh na paayi

Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se takraayi

Sheeshay se bani larki se
Keh do ke na baad mein rona
Kuch log hain jo peetal ke
Kehte hain woh khud ko sona
Yeh jhoot ka pul tootega
Aur gehri hai gham ki khaayi

Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se takraayi



wellwisher

KHUDA Ek Bar

KHUDA Ek Bar Usy Mera Bana De !!
Kitna Chahta Hoon Usy Koi Bata De !!

Bohut Naz Hai Humhe Apni Mohabbat Per !!
Ho Jaye Wo Mera Aisa Mojza dikha De !!

Agar Wo Mera Naseeb Ban Nahi Sakta !!
Us Ke Kadmo ki Khak Mujhe Bana De !!

Her Pal dekhon Sirf Sapne Usi Ke !!
Na Jagon Mujhe Aisi Neend Sula De !!

Dekh kay Tumhain

Dekh kay Tumhain Nigahon ko Yakeen Nahi Aata,
Hai Husn Tera Bikhra Hua,
Daman Main Simat Nahi Pata,
Darr hai na ho Jaoon Marz-e-ishq main Mubtala,
Tere hi khyalon Main Dooba Hoon Kuch Aur Nazar Nahi Aata,
Tham sa Gaya Hoon Unhi Lamhon Main Jab Dekha Tha Tujhko,
Dilkush Nazara Woh Nigahon Say Ab Bhi Bhoola Nahi Pata

Kuch baate bhuli hui

Kuch baate bhuli hui,
kuch pal beete hue,

Har galti ka ek naya bahana,
aur pir sabki nazar me aana,

Exam ki puri raat jagna,
Pir bhi sawal dekhake sir khujlana,

Mauka mile to class bunk marna,
Pir doston k sath canteen jana

USKI ek jhalak dekhane roj college jana,
usko dekhte dekhte attendance bhul jana,

Har pal hai naya sapna,
aaj jo tute pir bhi hai apna,

Ye college ke din,
In lamho me Zindagi jee bhar ke jeena,

Yaad karke in palon ko,
pir Zindagi bhar muskurana

Ye khalash kyun

Ye khalash kyun darmyan barh se gaye hai
mare hamwar chahat ko kis ki nazar lage hai

tare qurbbat main ye ahsas hoa ek pal
mare rooh tare jism ko chooo kar gaye hai

tare wissal main etna kaha junoo thaa kabhee
ye jo halat is feraq main ho se gaye hai

wo ek pal jab sansooo main bhe koi fasla na raha
tere khoshboo mare hayat ko dhoo se gaye hai

na jane ke ab wo mare wafa pe rakhay ga yaqeen
bus ye sooch he mare ankhoo ko bhegoo se gaye hai

Azmish-e-wafa

Koi mera ho jo Azmish-e-wafa rakhta ho,
Har qadam sath chalney ki ada rakhta ho,

Naz na uthaon to bi shikayt na,
Kare gham seh kar bi hasne ki ada rkhta ho

Ek baar hum train

Ek baar hum train main safar kar rahe the
safar main hum kuch gunguna rahe the ,
samne wali seat pe hamari baithi thi ek sundar ladki ,
jise dekh ke hamari bhi tabiyat bhadki ,
tab wo nikal ke khane lagi khana ,
uski khubsurti pe hamne ga diya ek romantic gana ,
tujhe dekha to ye jana sanam pyar hota hai deewana sanam,
sun ke hamari gana wo hamare paass aayi ,thodi muskurai ,
hum bhi muskura diye ,
usne kaha aapne to bahut aaccha gaya gana,
kal meri shadi hai BHAIYA aap zarror aana kyoon ki
bhai ko hai to rasme bahen ki sadi ka hai nibahana

Ek baar hum train

Ek baar hum train main safar kar rahe the
safar main hum kuch gunguna rahe the ,
samne wali seat pe hamari baithi thi ek sundar ladki ,
jise dekh ke hamari bhi tabiyat bhadki ,
tab wo nikal ke khane lagi khana ,
uski khubsurti pe hamne ga diya ek romantic gana ,
tujhe dekha to ye jana sanam pyar hota hai deewana sanam,
sun ke hamari gana wo hamare paass aayi ,thodi muskurai ,
hum bhi muskura diye ,
usne kaha aapne to bahut aaccha gaya gana,
kal meri shadi hai BHAIYA aap zarror aana kyoon ki
bhai ko hai to rasme bahen ki sadi ka hai nibahana

TERA HASEEN SATH

Tera haseen sath mujhay jab naseeb hay
Mera ya dil na ab to tamunna koi karay

Tujh ko rahay naseeb zamanay ki har khushi
Gham koi teray paas na aay khuda karay

Itna zamanay bher say tu piyara hamain lagay
Chanda khabi lagay to sitara khabi lagay

Rakh lain zamanay bher say chupa kar kahi tujhay
Apna to bus khayal hamesha yahi rahay

Jab koi hum ko apnay say ziyada rakhay aziz
Aor paas apnay apni bana ker irum rakhay

Phir uskay naz hum na uthaain to kia karain
Perwardigar tujh say meri ilteja hay ya

Aglay safer may bhi mera sathi yahi rahay

Mehboob ki tasveer

Aye Musawir mere Mehboob ki tasveer Bana,
Tujse ban jaye tu bigri hui taqdeer bana.

Zulf aisi hu k barsat bhi pani mangy,
Surkh honton se har ek phool jawani mange.

Nargasi ankhon me kajal k wohi teer bana,
Ae Musawir mere mehboob ki tasweer bana.

TARAS NA JAO

TARAS NA JAO KAHEEN MANZIL-E-WAFA KE LIYE,
KISI SE PYAR NA KAR BETHNA KHUDA KE LIYE,

TUM APNI AAHON MEIN ASAR NA PAO GE,
WOHI HANSE GA JISE ZAKHAM-E-DIL DIKHAO GE,

PHIR UTHA SAKO GE NA HAATH BHI DUA KE LIYE,
KISI SE PYAR NA KAR BETHNA KHUDA KE LIYE,

WAFA TALASH NA KAR IN HASEENON MEIN ,
KE DIL NAHI PATHAR HAIN IN KE SEENON MEIN,

YEH TO SITAM KE LIYE JAFA KE LIYE,
KISI SE PYAR NA KAR BETHNA KHUDA KE LIYE,

YEH DUNIA HASEEN QATILON KI BASTI HAI,
YAHAN MUHABATON KO ZINDAGI TARASTI HAI,

SITAM HAZAR SAHO GE IK AASHNA KE LIYE,
KISI SE PYAR NA KAR BETHNA KHUDA KE LIYE

Hum nazuk dil walay

Hum nazuk dil walay bus aise he hotay hain,
khbi hastay hain,

khbi rotay hain,
khbi dil mai khawab perotay hain,

khabi mehfil mehfil phirtay hain,
khabi zaat mai tanha hotay hain,

khabi chup ki mohar sajatay hain,
khabi geet laboon pai latay hain,

khabi sub ka dil bhailatay hain,
khabi khud mai tanha hotay hain,

khabi shab bhar jagtay rahtay hain,
khabi lambi taan kai sotay hain,
Hum nazuk nuzuk dil walay bus aise he hotay hain!!!!!!

Abhi shaadi ka pehla hi saal tha

Abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
Khushi ke maare mera bura haal tha,
Khushiyaan kuchh yun umad rahin thi,
Ki sambhale nahi sambhal rahi thi..

Subah subah madam ka chai le kar aana
Thoda sharmate huye humein neend se jagana,
Wo pyaar bhara hath hamare baalon mein phirana,
Muskurate huye kehna ki..
Darling chai to pi lo,
Jaldi se ready ho jao, Aap ko office bhi hai jaana..

Gharwali meherban ka roop le kar aayee thi,
Dil aur dimag par poori tarah chhayee thi,
Saans bhi lete they to naam usee ka hota tha,
Ik pal bhi door jeena dushwar hota tha..

-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
5 saal baad....


Subah subah madam ka chai le kar aana,
Table par rakh kar jor se chillana,
Aaj office jao to munna ko
School chodte hue jana........ ......

Suno ek baar phir wohi awaaj aayi,
Kya baat hai abhi tak chhodi nahi charpayee,
Agar munna late ho gaya to dekh lena,
Munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena.

Na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
Dil aur dimaag par kaali ghata chhayee thi,
Saans bhi lete hain to unhi ka khayal hota hai,
Ab har samay zehan mein ek hi sawal hota hai..

Kya kabhi woh din laut ke aayenge,
Hum ek baar phir kunwaare ban paayenge

Followers