naa dil ko jalanaa hamein bhool jana,
wo guzra zamana hamein bhool jana,
juda meri manzil juda teri raahein
milein gi na ab teri meri nigahein
mere naam apne labon pe naa lana
naa dil ko jalanaa hamein bhool jana,
yeh ro ro k kehta hai toota hua dil
nahi hoon mein teri mohabat k kabil
mujhe teri duniya se hai door jana
naa dil ko jalanaa hamein bhool jana
No comments:
Post a Comment