Tera haseen sath mujhay jab naseeb hay
Mera ya dil na ab to tamunna koi karay
Tujh ko rahay naseeb zamanay ki har khushi
Gham koi teray paas na aay khuda karay
Itna zamanay bher say tu piyara hamain lagay
Chanda khabi lagay to sitara khabi lagay
Rakh lain zamanay bher say chupa kar kahi tujhay
Apna to bus khayal hamesha yahi rahay
Jab koi hum ko apnay say ziyada rakhay aziz
Aor paas apnay apni bana ker irum rakhay
Phir uskay naz hum na uthaain to kia karain
Perwardigar tujh say meri ilteja hay ya
Aglay safer may bhi mera sathi yahi rahay
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment