Kal chowdwein ki rat thi shab bhar raha charcha tera
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera
hum bhi waheen mojood the hum se bhi sub poocha kiye
hum hans diye hum chup rahe manzoor tha parda tera
is sheher me kis se milen hum se chooti mehfilen
her shaks tera nam le her shaks dewana tera
koche ko tere chor ker jogi hi ban jaien magar
jungle tere parat tere basti teri sehra tera
do ashq jane kis liye palkon per aker atak gaie
altaf ki barish teri ikram ka darya tera
be dard sansani ho to chal kehta hai kia achi ghazal
ashiq tera ruswa tera shair tera insha tera
ek ashiq ki kahani
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment