Saturday, June 13, 2009

Tumko Cho k bi choney ko karta hai dil


Tumko Cho k bi choney ko karta hai dil
pa k bi panay ko karta hai dil

awargi anay lagi
sanso mai khushbu chanay lagi

dil pa dawangi cha gai is qadar
band anko se bi mjhko aye nazar

kesay kahay huma
kitne mohobbat hai
kitni mohabbat hai ................................ :-)

To kaif

From Pari

Khud ko kitna uraan me rakho

Khud ko kitna uraan me rakho
Es zamee ko dheyaan me rakho

Koi mukhlis nahi zamany men
Khud ko apni amaan me rakho

Kabhi sisakta hai

Kabhi sisakta hai, kabhi marta hai
ae dil to ye kiya karta hai

jiski khatir to zarb lagata hai humhe
usse tere hone na hone se

bhala kiya farq parta hai
ji to bhar ata hai uski baaton ko lekar

par haya humhe rone nhi deti dil khol kar
neendh iski hai, dimagh iska hai, ratain iski hai..

ae dil tu aj khol kar bata toh
muhabbat karta hai ya usse darta hai???

EK ROZ TUM NE THAMA THA HATH MERA

EK ROZ TUM NE THAMA THA HATH MERA
MERE HATH SE TUMHARE HATH KI KHUSHBU NAHI JATI

TUM BUHAT PYAR SE PUKARTE THE NAAM MERA
MERE KAANO SE TUMHARI WO AWAZ NAHI JATI

MEIN BULATA BHI NAHI THA OR TUM A JATE THE
AB BULANE PR BHI MERI AWAZ TUM TK NAHI JATI

BAS CHUKE HO TUM MERI NAS NAS MEIN LAHU KI TARHA
MERI ULFAT TUMHARI ROOH MEIN UTAR KYUN NHI JATI

MEIN JANTA HOON YE SHEHER YE RASTEY TUMHARE NAHI
PHIR BHI MERE DIL SE INTEZAR KI ADAT NAHI JATI

DUHSHWARI

MAI BHOOL JAON TUMHAIN,
AB YEH HI MUNASIB HAI.
MAGAR BHULANA BHI CHAHON TO
KIS TARHAN BHULOON,
K TUM TO PHIR BHIHAQEEQAT HO ,
KOI KHUWAAB NHI,
YAHAN TO DILL KA YEH ALAM HAI K KIA KAHON,
BHULA NA PAYA YEH WOH SILSALA,
JO THA HI NAHI,
WOH IK KHYAL,
JO AWAZ TAK GAYA HI NAHI,
WOH IK BAAT,
JO MAIN KEH NAHI SAKI TUM SE,
WOH IK RABATA,
JO HUM MAI KBI RAHA HI NAHI,
MUJHE HAI YAAD HAI WOH SAB,
JO KABI HOWA HI NAHI.....!!!!!

Tere chehray pe rangon

Tere chehray pe rangon ka sma'n aisa tha..
Bahaar ki rut mai flak pe q0as-0-qzah jaisa tha,

teri lehjay ke shaguftagi sahir the,
tere lab0n ke dilkashi the k qyamat the,

teri ankh0n ke chilman ka uth k gir jana..
Din mai chandni rat ka talism tha.

Buss aik shaam day do

“Buss aik shaam day do”

Bus aik shaam day do mujhay payar main dhalti hui

Phir sham usko main kahoon ya k kahoon main zindagi

Payar ho challka hua teri niggah k jaam se

Surmaai sa phelta ho rang uffaq per shaam se

Bazo’oun ki qaid main ho ik badan simta hua

Khamoshi main goonjti ho do dilon ki ik sada

Ho ulajhti saans main jesay shara’rat saans ki

Rooh ko choonay lagay jesay hararat saans ki

Hath main ho chooriyon ki dheemi dheemi si khannak

Madham madham roshni main narm anchal ki dhannak

Hont hoon tere gulaabi chalki chagal ki tarah

Surmaai si phail jaye shaam kajal ki tarah

Kaash so jao kabhi tum rakh k sar aghosh main

Doob ker ankhon main teri ham rahain na hosh main

Kaash k mujhko atta kar do koi aisa hi kal

Kaash tham jain wo lamhay or tham jain wo pal

Wassal k lamhay atta kar do mujhay ik din kabhi

Yoon milain tum se k phir na hoon juda tum se kabhi

Phir chalay janay ki Jana! Baat na aye kabhi

Buss aik shaam day do phir raat na aaye kabhi

Followers