Sunday, May 10, 2009
Khwaab......
Khwaab rehte the jo kabhi palkoN pe
Moti bankar aankhoN se jhhaR gaye.
Daav par hote hain dil o jaan yahaan
Ulfat ke ye saude mehenge paR gaye
Dhundhle raaste, manzil bhi anjaani si
Rukte kadam phir aage baR gaye
Na jeet hui, na haari baazi humne..
Kabhi khudse, kabhi kismat se laR gaye
Tere Dar Pe Baith Jaunga
tere dar pe baith jaunga.
munjamid pathar ki tarha hojaunga
loog samjhey ge mujasima mujeh
lekin!loogo ko kia maloom mai deewana tera
k tere dar pe baithay baithay
mai jahan-e-fani se kooch kar jaunga
raza! phir mai waqaee mujasima banjaunga
aur kahee per nasb kardiya jaunga...
TUJH KO GALE LAGALON!
TANHIYON KA MOSAM
DASTI HOWI JUDAI
JIS MOR PE KHARA HON
MAIN KIS TARAH SA AON
TUJH KO GALE LAGON
KUCH BATIEN TERI SUNLON
KUCH YAD MAIN SUNAON
LOGO KE IS NAZAR SA
IS GEHREY SAMANDAR SA
KAISE TUJHE CHORAON
UJRE HOWEY HAI RAHEIN
THAK SI GAYE NIGHAEIN
KE KAB SA PHIR BOLAO
DHERE SA MUSKURAO
ANJAN RATJAGO KE
BECHAIN ANDHERO SA
AKAR MUJHE NIKALO
HUM KO GALE LAGALO
Mujhpe bijli girao to jaanu.......
Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida
Subscribe to:
Posts (Atom)