yaaro kahan tak or mohabet nibhaon main
do mujhko bad dua ke usse bhol jaon main
dil tou jala gaya hei wo shola sa aadmi
ab kisko choo ke bhi hath bhi apna jalaon main
sunta hon ab kisi se wafa ker raha hei wo
aye zindagi khushi se kahin mar na jaon main
us jaisa naam rakh ke ager aye moat bhi
hans ker usse qateel galay se lagaon main
yaraon kahan tak or mohabet nibhaon main
do mujhko bad dua ke usse bhol jaon main
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment