Nahi acha koi ishara saaf keh do na
Kahan tak saath do gay tum hamara saaf keh do na
Judai ki tarah darya bhi apne saath chalta hai
Nahi milta kinaray se kinara saaf keh do na
Bahanay apni majboori ke kiyon aa kar sunate ho
Qasoor iss mein nahi koi tumhara saaf keh do na
Humein tanhai ke taanay tum mat do ghair ke aagay
ke hum bhi dhoon le koi sahara saaf keh do na
Hamary hath ki aksar lakeerein milti julti hain
magar milta nahi apna sitara saaf keh do na
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment