aksar ye hota hy aitbar may qaul-o-qarar tor kr chaly jaty hain
milty hain do char din phr chor kr chaly jaty hainjane kyu logon may bemurawati hy itni
rishty banaty hain aur monh mor kr chaly jaty hain
koi kary na yakeen kisi ke ehad-e-wafa pay .
zulfon ki chaon may bithaty hain kuch der aur besaiban chor kr chalyjaty hain
koi to hoga sabab yun berukhi ka un ki koi batay mry yar ko
kabil-e- deed na sahi pr un ki chah main hm machaly jaty hain
samaitati hon hr bar khud ko un ki kuj adai sy jab tot jati hon
khuwab us shaks ky atay hain aur mjh ko bikhra kr chaly jatay hain
dyar-e-dil ki rah main jub bhi umeed ki shama jalati hon sadaf
jhonkay khizan ky atay hain aur loo bujha kr chaly jaty hain
No comments:
Post a Comment