Thursday, February 26, 2009

Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai

Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai
Apna kehnay se koi apna kahaa'n hota hai
Dhoondta rehta hoon..mai tujh ko chaman zaroan mai
Teri yaadoan k mehktay..hoey...Gulzaaroa'n mai

Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai
Koi bhi phool wahan tujh sa kahaa hota hai

Yaad aati hai tou muskaan si aajati hai
Goyaa duniyaa teri aankhoan mai simaat aati hai

Teri Rakhshinda jabeen or teri masoom haansiiii
Meri Neendoan mai faqat tera basar hotaa hai

Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai
Apna kehnay se koi apna kahaa'n hota hai

Aey meri jaan magar aisa kahan hota hai

No comments:

Followers