Saturday, March 21, 2009

JAAM KO PETTA HOON

KAR KAY TUJHAY YAAD BOHAT JAAM KO PETTA HOON
KHABAR HO CHAND KO ES LEAY SHAAM KO PETTA HOON



OR TUM KO KHUD MAY SHAMIL KARANAY KAY LEAY
MAY AKSAR GHOOL KAY TAYRAY NAAM KO PETTA HOON

Mujh ko Khuwahish k jazeeray mai

Mujh ko Khuwahish k jazeeray mai chupa rehnay do
Bewafa shehar hai or mujh mai wafa rehnay do

aik teri yaad hi hissa hai meri dunya ka
bus issi yaad ko sansoo se juda rehnay do.


To,
Wellwisher

Woh Meri Aik Raat

Woh Meri Aik Raat Bhi Amar kar Na Saka
Jado Wo Janta Tha, Magar Kar Na Saka

Taqdir K Likhe Ko Badalne Chala Tha Woh
Magar Aik Hurf Bhi Idhar Se Udhar Kar na Saka Woh.

Yeh milna

Na janay kiun wo muje se muskara kay milta hai
andar k saray gham chupa kay milta hai


janta hai ankhain sach bolti hain
aisi liay nazrain chura kay milta hai

Karobar sheeshay ka

Patharon ki basti main karobar sheeshay ka
koi bhi nahin karta atibar sheeshay ka

kaanch k banay putlay thori door chaltay hain
char din ka hota hay ye khumar sheeshay ka

ban sanwar k harjai aj ghar se nikla hay
janay kiun hota hay phir shikar sheeshay ka

dil k aazmanay ko aik sung kafi hay
imtehan na lena tum bar bar sheeshay ka

iss zamanay main aarzi hain sab rishtay
hum ne bhi banaya tha aik yar sheeshya ka

Kabhi nazren milane may zamane beet jate hain

Kabhi nazren churane may zamane beet jate hain
kisi ne ankh b kholi to sone ki nagri may

kisi ko gahr banane may zamane beet jate hain
kabhi kaali siya raaten ek pal ki lagti hain

kabhi ek pal bitane may zamane beet jate hain
kabi khola ghar ka darwaza to samne thi manzil

kabi manzil k ane may zamane beet jate hain
ek pal may toot jate hain umar bhar k rishtey

wo rishtey jo banane may zamane beet jate hain..

Followers