Usne kaha
tum mei pehli si baat nahi
maine kaha
zindagi mei tera sath nahi
usne kaha
ab bhi kisi ki ankhon main doob jate ho?
maine kaha
ab kisi ki ankh main woh gehraii nahi
us ne kaha
kyun itna toot kar cahaha mujhe
maine kaha
insaan hoon patthar tou nahi
us ne kaha
kia main bewafa hoon?
maine kaha
mujhe ab wafa ki talaash hi nahi
us ne kaha
bhool jaoge mujh ko?
maine kaha
tum haqiqat ho, koi khwaab nahi....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment