Tujh ko hum apnay dilmay basa lain gay is terhaan
Jana bhi tu jo chahay to ja na sakay kahin
Apna tujhay hum aadi bana lain gay is terhaan,
Haan manng ker khuda say zamanay ki her khushi
Qadmou may tairay rakh kay baray piyar say sanum
Haan zindagi ko tairi saja dain gay is tarhaan,
Ye gardish-e- zamana tujhay chuu na sakay gi
Aesay hissar may tujhay rakhain gay ae sanum
Apni dua ko dhaal bana lain gay is terhaan,
Ger tu kabhi jo rooth gaya baat per kisi
Tujh ko galay laga k meri jaan piyar say
Hum apna aap dai k mana lain gay is terhaan
Her raat piyar say tairay bazoo pay rakh k sir
Beetay huay lumhaat ko ji lain gay ae sanum
Her shab, shab-e- baraat bana lain gay is terhaan
Tujh ko hum apna aadi bana lain gay is terhaan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment