Monday, March 2, 2009

Itne Phool Khile Is Dil Mai!

Itne phool khile is dil main,
Ghar sajana bhool gaye.

Mehfil main wo kiya aaye,
Ham shama jalana bhool gaye.

Haal hamara poochhne wale,
Teri zubaan ne loot liya,

Hamne sab kuch keh dala,
Bas baat batana bhool gaye.

Ik tum hi ko dunya main,
Jisse bohat ummiden hain,

Kiya guzre gi dil per ager,
TumpPyar nibhana bhool gaye.

Ik pal ka Ehsas

Ik pal ka Ehsas ban kar ate ho tum,
Her pal Khushbo ki Tarhan urh jate ho tum.

Jante ho Tanhayoun se Dar Lagta hain humain,
Phir bhi Tanha Chor jate ho tum.

Kis ny kis ko mokamal kerna hai

Kis ny kis ko mokamal kerna hai
abhi is baat ka faisla hona baqi hai

mosam ko badalna chahye yaya k abhi rukna hai
fasla rakhna hai ya k rasta hi badalna hai

abhi is baat ka faisla hona baqi hai
abhi to sochna baqi hai os ko kion kr chaha tha

abhi wo resham soljhani hai jo hathon main oljhi hai
abhi to is ka bhi faisla kerna hai mujhy SAHAR

k os ko chor any main mujhy noqsan kitna hai

Tumhara aur mera waqt

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
Ya phir sargoshiyan dil ki suna do phir chale jana

Jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone main
Usay Poori tarah se tum bhulado phir chale jana

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana

Bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo shikhado phir chale jana

Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
Bus in alfaz-o-maa'ine ko mitado phir chale jana

Jo kehte kehte ruk gaye, un sari batoon ki
Sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana

Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana

Mery in Roz-O-Shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
Mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana!!!

Haal-E-Dil

Kuch or Sochne Ki Zaroorat Nahi Mujhe,
Tere Siwaa Kisi Se Muhabbat Nahi Mujhe,

Rehta Hai Bas Tere Hi Mujhe Raat Din Khyal,
Mein Tujh Ko Bhul Jaaun Yeh Taaqat Nahi Mujhe,

Kal Shab Tumhari Yaad Main Aansu Jhalak Pare,
Ab Kehna Ki Halat Nahi Mujhe,

Kes Ko Sunaaun Jaa K Mein Haal-e-dil,
Tum Ne To Keh Diya K Fursat Nahi Mujhe.


Wellisher

MAT BETH KHULY RASTON PE HAWA

Mat Beth khuly Raston pr hawa tang kary gi
Bichry huey logon ki Sada Tang Kary gi

Mat Toot ky Chaho Usy Agahz-e-Safar Main
Bichry Ga Tu Ek Ek Adda Tang Kary gi

Followers